Rog, Naukari, Vyavsay, Kala Jadu - Sabhi Samasya Ka Ek Upay


peepal ke totke

Aaj har insan ya to bimar hai ya phir kisi na kisi se samasya se dukhi hai.  Aaj insan doctors ke chakkar lagata rahta hai lekin phir bhi uski sehat sahi nahi rahati hai ya phir ghar mein koi na koi bimar rahta hi hai aur sari kamai dawaiyo mein chali jati hai.  Business hai to business mein loss ho raha hai ya phir customer nahi aa rahe hai matlab kamai nahi ho rahi hai, dhandha bilkul thapp pada hai. 

Sarkari naukari hai to officer logo se se dukhi aur private job hai to boss tang karta hai aur kuch nahi to ghar parivar ya aadmi ke upar dushman kala jadu kar dete hai jis ki wajah se ya to wo bimar pad jata hai ya phir uski naukari chali jati hai ya vyavsay khatham ho jata hai.

Kul mila kar har insan ko koi na koi samasya lagi hui hai isliye aaj ka insan depression mein rahta hai aur tanaav ki jindgi gujarata hai.

Sabhi Tarah Ki Samasya Ke Liye Ek Upay

Aapko agar ek se jyada samasya hai to ab aapko alag -alag upay karne ki jaroorat nahi hai kyuki agar aap ye ek upay kar lenge to aapki sari samasya jad se khatham hone lagegi lekin aapko ye upay band nahi karna hai aur lambe samay tak ye upay karna hai.  

Aapko ek tambe ke lotte mein jal lena hai aur us jal mein ek chammach haldi powder, aur shakkar mila leni hai aur phir aapko rozana nahakar subah ghar ke pass mojood peepal ke ped mein wo jal chadana hai.  Aapko bus ravivar (Sunday) ko ye kaarya nahi karna hai baki sabhi din aapko peepal ke ped mein haldi aur shakkar mila hua jal chadana hai.  Aapko peepal ke ped ko jal chada kar apni prathana kar leni hai.

Aapko ye upay lambe samay tak karna hai, beech mein band nahi karna hai.  Aap farak mahsoos karoge.  Aapki jo bhi samasya hai wo door hone lagegi.  Ghar mein shanti aur khushhaali aaygi.  

Shatru se nijaat pane ke liye is post ko padein-

Dushman Se Mukti Pane Ke Liye Peepal Ke Ped Ka Chamatkari Totka