हस्तरेखा | Hastrekha Aur Job | Hast Rekha Jyotish


हस्तरेखा | Hastrekha Aur Job | Hast Rekha Jyotish 

(Hast Rekha Se Pata Kare Aapka Job Aur Career Kaisa Rahega)

job line hand astrology
Aaj har insan apne career (rojgar/job) ke bare mein janana chahata hai.  Har aadmi ko apne bhavishya ki chinta satati rahati hai ki uska future career kaisa rahega.  

Aaj har insan sarkari naukari ki chahat rakhta hai aur bus hast rekha dikha kar ye hi janana chahata hai ki uske naseeb mein government job hai ya nahi ? jabki har insan ko kaise govt job mil sakti hai ?

Hast rekha se anuman lagaya ja sakta hai ki vykti ko kis line ya field mein safalta milegi ya kis job line mein success milegi lekin us insan ka accha aur bura samay bhi dekhna padega kyuki bure samay yani jab insan ka bahut bura samay chal raha ho tab uska lakh kosheesh karne ke baad bhi kahi se bhi safalta nahi milti hai.  Aap is baat ko aise samajh sakte ho ki ek insan ki dukan bahut acchi chalti thi lekin achanak uska samay khrabh aaya aur uski wo dukan band ho gayi aur wo karze mein doob gaya us ne lakh kosheesh ki us hi cheez ka vyapaar dusari jagah par karne ki lekin phir bhi usko koi safalta nahi mili to iska matlab kya hua samay bada balwan hota hai aur humko bhagya rekha se us insan ka accha aur bura samay bhi dekhna padta hai.

Sarkari naukari ke liye vykti ka guru parvat, surya parvat accha hona chahiye aur sath mein acchi bhagya rekha aur acchi surya rekha honi chahiye agar ye sab acche hai to vykti ko acchi safalta milti hai sarkari level par lekin agar ye sab acche nahi hai to vykti mamuli sarkari pad par karyarat rahta hai ya phir usko beech mein naukari chodni pad jati hai.

Sadharan naukari karne wale ke hath mein surya rekha aur bhagya rekha jyadatar kamzor hi hoti hai chahe wo private job karta ho ya govt job karta ho lekin agar acchi hai to wo baad mein jaroor tarakki kar lega.

Businessman ke hath mein bhagya rekha seedhi aur lambi hoti hai aur nirdosh hoti hai aur yadi surya rekha bhi prabal hai to "sone pe suhaga " matlab aisa vykti dhani aur naamcheen vyapari hota hai.  Lekin yadi rahu rekha hath mein majood hai to vyapar mein ghata aur uttar chadav bana rahta hai.

Agar aap hast rekha aur job aur business ke barein mein adhik padna chahate hai to is post ko pade - Hast Rekha Aur Aapka Career

मछली | Machli Sign Hast Rekha


Hath Mein Machli Sign Hast Rekha

(Hast Rekha Mein Machli (मछली) Ka Nishan)

Hath Mein Machli Sign Hast Rekha (Hast Rekha Mein Machli (मछली) Ka Nishan)
Machli Aur Mach Rekha

Yadi kisi insan ke right hand ki life line ke end mein ek badi machli bani hui hai to us insan ko pani se bahut dar lagta hai aur us aadmi ko najla, jukam humesha laga rahta hai.

English mein machli chinha ko fish sign bolte hai -  Fish Sign On Mounts And Lines Of Hand In Indian Palm Reading

Agar machli ka face hatheli ki taraf hai to insan ko old age mein success milti hai aur agar machli ka face ungliyo ki taraf hai to insan ko jawani mein hi safalta mil jati hai.

Jis bhi vykti ke hath mein machli bani hui hoti hai wo insan propkari, dayawan, dhanwan, dharmik aur desh aur videsh mein naamcheen insan hota hai.

Mach rekh (Machh Rekha) hone par insan ko madhmeh hone ki sambhavna adhik hoti hai lekin mach rekha jeevan rekha ko old age mein support karti hai.

Hath me machli ka chinh ko le kar kuch vidwano ka aisa manna hai ki machli chin ketu prvt par yadi bhagya rekha par ho to vykti dhanwan hota hai lekin jydatar vidhwan ne machli ki jagah ko jeevan rekha ka antim chor hi mana hai jaisa ki chitra mein dikhaya gaya hai.