Trishul Hastrekha (Branches Of Trident Palmistry)



Trishul: Sobhagayashali Chinha


Trishul (Trident)



Yadi Kisi vykti ki surya rekha va bhagaya rekha pr trishul hai to us vykti ko jeevan mein kaafi dhan aur maan-samaan milta hai. Vykti ki pragati jaldi hoti hai aur usko apne paryatano mein safalta jaroor milti hai. 


Yadi kisi bhikhari ki bhagaya ya surya rekha pr trishul hai to uska matlab usko bheekh doosare bhikhariyo se kam mehnat karne pr hi mil jaaygi ya phir kuch saalo baad uska jeevan accha ho jaayga, uske vyktigat prayaaso se ya us ke bhagaya se.

Yadi Trishul Surya Rekha pr bana hua hai aur uski ek shakha budh parvat pr jaa rahi hai aur doosari shani parvat pr to vykti ho dhan labh hota hai, aur bhoomi se bhi labh hota hai. Trishul or surya rekha nirdosh honi chahiye.

Yadi Trishul Bhagaya Rekha pr bana hai to vykti ko apne karyo mein saflta milti hai aur wah apne vivek se paisa banata hai. Smaaj mein accha naam hota hai. Trishul or bhagaya rekha nirdosh honi chahiye.

Yadi surya rekha pr trishul ki shakha mudi (hook ki tarah) hui hai to wo uska viprit asar dikhati hai, aisa hi bhagaya rekha pr.

Yadi doshyukt trishul hai to uska asar viprit padta hai.

Yadi do hi shakha hai to vykti ko safalta nahi mil pati hai ya muskil se milti hai.

Yadi surya rekha ko budh parvat se koi prabhav rekha aa kar kaat de to vykti ko vypaar mein nuksaan ya asafalta milti hai jiska karan ayogata, galat faisle, itayadi hota hai.

Yadi surya rekha ko shani parvat se koi prabhav rekha aa kar kaat de to vykti ko dhan ke abhav ke karan vifalata milti hai ya phir durbhagaya ke karan safalta nahi mil pati hai.

Yadi bhagaya rekha ko guru parvat se koi prabhav rekha aa kar kaat de to vykti ko parivarik karano ki wajah se safalata nahi mil pati hai.

Yadi bhagaya rekha ko surya parvat se koi prabhav rekha aa kar kaat de to vykti ko apne karya-khshetra mein safalta nahi milti hai.

Kya aapke hath mein machli bani hui hai? agar bani hui hai to uska matlab pata karne ke liye neeche diye hue link ko padein:


Hath Mein Machli Chinha