Kala Til (Black Mole) Hatheli Mein Rekha Aur Parvato Aur Ungliyo Par Hona


Kala Til Hona Hatheli Par Hastrekha


Hath Mein Til (Mole Ya Birthmark) Ka Hona


Til (तिल) yani ki mole jo ki lagbhag har insan ki body par kahi na kahi par hota hi hai aur kuch insano ke hatheli mein bhi til hota hai. 


Hath par til (mole) hone par kya hota hai, uska matlab hastrekha ya palmistry mein diya gaya hai.

Til badan par kahi bhi ho sakta hai. Bahut baar til janam ke sath hi badan ke kisi ang par bana hua hota hai aur bahut baar baad mein najar aane lagta hai. 


Jyadatar aurat aur purush ke badan ke ango (body parts) par til ka matalb ek jaisa hi hota hai lekin kaafi jagah par matlab alag-alag bhi hota hai. 

Visheshkar til ko bura hi mana jata hai. Samudrik Shastra mein til ke barein mein vistar se bataya gaya hai.


Til aapko pata hai bahut rang ke hote hai aur badi aur chotti size mein hote hai. Vigyan halaki til ko nahi manta hai aur kahta hai ki ye skin tag hai aur kuch nahi hai.

Massa aur til alag alag hote hai halaki bolne mein massey ko bhi mole hi bola jata hai ya phir freckle ya birthmark bhi bolte hai lekin hindi mein massa aur til alag hote hai. Waise massa ko english mein wart bhi bolte hai.

Jyadatar ya aamtor par massa naak ke pass ya honto ke upar ya aankh ki palak par hota hai jo ki shubh fal dete hai.

Aamtor par ye dharana hai ki massa ya til agar purush ke right side ki body par hai to accha hai aur aurat ke left side ki body par hai to accha yani ki shubh faldayak hai aur agar iske viprit hota hai to ashubh prabhav dekhne ko milta hai.

Is post mein hum sampurna sharir par til hone ki vivechana na kar ke sirf hatheli par jo til pay jaate hai unke barein mein aapko batayenge.

Hatheli Par Til Ka Mahatv Hastrekha Vigyan


Hastrekha Vigyan mein til ka bahut mahatv hai. Til ko English mein mole kaha jata hai.

Jyadatar hatho kala krishna bindu (black mole) hi dekhne ko milta hai. Til ke kai prakaar hote hai jaise:- Safed, laal, peela, neela, bhura, kala, itayadi. 


Til ka aakaar chotta aur bada bhi ho sakta hai. Ye til hatheli pr alag alag jagah dekhne ko milte hai aur sabhi ka alag alag jagah ke anusaar faladesh hota hai. 

Adiktar til bimari, bhidant or khrab samay ko darshate hai. 

Kuch til janam se hatheli mein hote hai (finger ke upar ya hatheli ke beech mein) aur kabhi kabhi til achanak se hatheli ya ungli par dikhne lag jata hai aisa til jo achanak se najar aane lagta hai wo kisi durghatna ya bimari ka soochak hota hai ya phir chori, paiso ka nuksan batata hai.

Hath Mein Til Ke Prakaar Hona Aur Unka Matlab Jaane 


Safed til - Is prakaar ka til accha sanket deta hai aur jyadatar nakho (nails) pr hi paya jata hai.

Laal til - Is prakaar ke til acche nahi hote hai kyuki is prakaar ke til bhidant or durghatana ka sanket dete hai.

Peela til - Is prakaar ke til bhi acche nahi hote hai kyuki is prakaar ke til bimari ka sanket dete hai, khoon ki kami hona, itayadi.

Krishana Bindu til (kala til) - Is prakaar ke til jyadatar acche nahi hote hai lekin kuch jagah pr ye til accha prabhav bhi rakhte hai. Yadi hahteli ke madya mein kala til hai to vykti sobhagayashali hota hai. Aise vykti ke pass apaar samapti hoti hai.

Bhure til - Is prakaar ke til bhi kaley til jaisa hi prabhaav rakhte hai lekin kaley til se kuch kam prabhaavkari hote hai.

Hateli mein jydatar kala til hi paya jata hai isliye hum yaha pr kale til ki hi charcha karenge


Kala Til Agar Parvato Par Ho To Uska Matlab Hastrekha Mein


Guru Parvat - Shaadi mein takleef aati hai ya to shaadi late hoti hai ya phir vevahik jeevan sukhmay nahi hota hai. Aise vykti ko jeevan mein dhanhani aur manhani ka samna karna padta hai.

Shani Parvat - Aise vykti ka durbhagaya uska peecha nahi chodta hai. Aise logo ko kaan, peeth aur daanth ki takleef rahati hai.

Ravi Parvat - Aise vykti ko jeevan mein kalank ka saamna karna padta hai aur aise logo ko netra peeda aur sir mein dard ki shikayat hoti hai.

Budh Parvat - Aise vykti ko vypaar mein dhan hani hoti hai aur vaani (bolne) se sambhandit rog hota hai.

Mangal Parvat - Aise vykti ko sir mein chot lagti hai. Aisa vykti darpok hota hai aur aatamdah ka pryaas karta hai.

Chandra Parvat - Aise vykti ki shaadi late hote hai aur usko shardi jukaam aur najale ki shikayat rahati hai.

Shukar Parvat - Aise vykti ko sex samasya rahati hai. Aisa vykti vilasita ka jeevan jeeta hai.

Ketu Parvat - Aise vykti bachpan mein bimaar hote hai aur skin ki bimari hoti hai.

Rahu Parvat - Aise vykti ko achanak dhan prapt hota hai lekin dhan ka nash bhi ho jata hai. 



Til Rekha Par Hona Hastrekha 


Rekhaon pr til shuruat, madya aur aakhir mein paya jata hai or us samay ki gannana (calculation) karni hoti hai.

Jeevan Rekha - Jeevan rekha pr til sharirik aur parivarik kast (peeda) deta hai.

Mastak Rekha - Mastak rekha pr til sirdard, mastak mein chot lagna or dhanhani karata hai.

Hridya Rekha - Hridya rekha pr til hridya ko durbal banata hai aur prem mein dokha batata hai.

Ravi Rekha - Ravi rekha pr til asafalta aur kalank lagna batata hai.

Bhagya Rekha - Bhagya rekha pr til dhanhani aur parivarik samasya ko batata hai.

Swasthaya Rekha - Swasthya rekha pr til lambi bimari ko batata hai aur diwaliya hone ka sanket deta hai.

Vivah Rekha - Vivah rekha pr til vevahik jeevan ko nust kar deta hai aur santaan hone mein kast deta hai.

Mangal Rekha - Mangal rekha pr til hone pr vykti darpok ban jata hai aur sirdard ki shikayat rhati hai.

Chandra Rekha - Chandra Rekha pr til hone pr vykti ko asafalta milti hai.

Yatra Rekha - Yetra rekha pr till hone pr vykti ki yatra ke doraan bhidant hoti hai aur yatra asafal hoti hai.


Til Ungliyo Par Hona Hastrekha 


Ungliyo par til ka prabhaav wo hi dekhne ko milta hai jo ki unke parvato pr paaya jata hai.

Aap jab bhi til ko dekh kar faladesh karein to haat ki baaki rekhaon aur chinho ko bhi avashya dekhe aur phir hi faladesh karein.

Read this article in English : Black Mole Hand Reading



MEANING OF MOLES ASTROLOGY