Kaal Sarp Dosh In Palmistry



Kaalsarp Yog/Dosh Hastrekha

Kaalsarp yog kundli mein Rahu tatha Ketu ke madhya anya sabhi garho garho ki isthithi se nirmit hota hai.  Yah jatak ko sarpbhay, swapn (sapne) mein sarp dikhai deta hai, pati-patni mein kalah hona, santanheenta, garbhpaat, manshik aur sharirik durbalta, pryatano mein asafalta, nirasha tatha chidchidapan bana rahata hai. 

kaal sarp dosh nivaran

Snake Sign Or Snake Line On Hand


Hastrekha mein hatheli pr jab sarp rekha banti hai tab kalsarp dosh banta hai - Fig-A 

1. Jab ungliyo ke parvo pr sarpakritinuma rekha bani ho to jatak ko kalsarp dosh hota hai.(fig A-1)

2. Rahu tatha ketu parvato pr yadi star paya jata hai ya phir star bhagya rekha ko sparsh karta hua ho to nischit hi vykti ko kaal sarp dosh hoga. Jatak ko jeevan mein kai accident ka samna karna padta hai. (fig A-4)

3. Yadi jatak ki hatheli mein ulta matsya chinha hai to kaalsarp dosh ki pushti hoti hai. (fig A-5)

4. Yadi chandra parvat pr koi chakrarekha paayi jaati hai to jatak ko santaan se sambhandhit takleef hoti hai. (fig A-6)

5. Yadi bhagya rekha sarpnuma hai to vykti ko nischit hi kaalsarp dosh mana jayega. (fig A-2)

6. Yadi bhagya rekha shani parvat pr ant mein do shakha mein paayi jaati hai to aise isththi mein bhi kaal sarp dosh mana jata hai. (fig A-7)

7. Yadi mangal ke maidan pr jaali bani hui ho to aise jatak ko bhi kaal sarp dosh hota hai. (fig A-3)



Kaal Sarp Dosh Ke Upay:-

Aaj kalsarp dosh ke naam par nashik, ujjain, mahakaleshwar aur trimbakeshwar mein puja ki jaati hai aur dawa kiya jata hai ki puja karwane ke baad kalsarp dosh smapt ho jata hai jabki aisa nahi hota hai aur balki vykti ki aarthik halat khrabh ho jaati hai karan jo kaal sarp dosh ko khatam karne ki puja ki cost hoti hai wo itani jyada hoti hai ki vykti uska karza kabhi chuka hi pata hai aur aise vykti jyadatar karza le kar hi puja karte hai wo bhi is aasha mein ki sab sahi ho jaayga aur karza aasani se chuka denge jabki hota ulta hai.  


Jo vykti is vykti ko kalsarp dosh ki puja karwane ke liye karza deta hai uske bure din shuru ho jate hai kyuki uska paisa doob jata hai kyuki ye vykti ab paise kaha se la kar dega to matlab indirectly us vykti par bhi kalsarp dosh ka asar ho jata hai.

Aapko kisi pundit ke pass jane ki jaroorat nahi hai aur kisi karza le kar puja karne ki jaroorat nahi hai aap ye saral upay karein aapko jaroor labh hoga.

1. Jo (barley) ravivar ke din sirhane rakha karein aur somwar ke din usko birds ko khila de.

2. "Om Namh Shivay" ka niymit rozana ek mala ka jaap karein.

3. Saap aur Sarpani ka joda banawa kar apne saath apni pocket mein rakhe.



READ IN ENGLISH:-


Kaal Sarp Dosh Indications on palm:


1. Serpent Line on phalanges of fingers. (fig A-1)

2. Star on Rahu And Ketu Mount. (fig A-4)

3. Fish sign on life line but fish face towards bracelet or wrist.(fig A-5)

4. Chakra Rekha on Mount of Moon.

5. Wavy fate line. (fig A-2)

6. Forked fate line on Mount of Saturn. (fig A-7)

7. Net sign on Plain of Mars. (fig A-3)


Nitin Kumar Palmist