Ungliyo Mein Chaar Parv Hona - Hast Rekha


fingers mein four phalange hona, ungliyo mein char parv hona

Ungliyo Mein Chaar Parv Hona - Hastrekha

Vykti ke hath mein 4 parv wali ungliyo ka hona-  Samantya ungli mein teen hi parv paay jaate hai parntu kabhi kabhi kuch logo ke hatho mein chaar parv bhi dekhne ko mil jate hai.  Ungli par chaar parv hone par yah "bandhan yog" kahlata hai. 

Visheshtor par shani ki ungli (madhyama) par chaar parv hone par vykti ko buri najar aur durbhagya ka saamna karna padta hai.  

Guru ki ungali (tarjani) par ho to vykti ko sikhcha, gyan mein rukawato ka saamna karna padta hai. 

Surya ki ungali (anamika) par ho to vykti ko paiso ki dikkat ka saamna karna padta hai aur badnami ka bhay bana rahta hai aur yadi budh ki ungali (kanshitha) par ho to vykti ko vivah mein takleef ka samna karna padta hai aur yadi sabhi ungliyo mein ho to vykti ka jeevan kathinayi bhara hota hai.

Yaha par ye baat dhyan rakhne wali hai ki aapko hath mein dusare yog bhi dekhne honge aur phir nishkarsh par pahuchna hoga.  


Kuch hastrekha shastri hath ki ungliyo mein chaar parv ka hona shubh bhi mante hai isliye ungliyo mein chaar parv hone par matbhed bana hua hai.


Ungliyo ka bahut mahatav hai aur agar aap ungliyo par aur adhik jankari chahate ho to yaha Click Karo >> Aapki Ungliya Aapki Kundli Hai


Nitin Kumar Palmist

http://indianpalmreading.blogspot.com