Hath Ki Rekha Jis Se Insan Ko Ghatna Se Pehly Uska Aabhas Ho Jata Hai - Aabhas Rekha

Hatheli Mein Aabhas Rekha 

Kai baar aisa hota hai ki humein bhavisya mein hone wali ghatana ke barein mein aabhash hota hai aur vah satya ghatit ho jaati hai jabki humara us ghatna se koi sambhandh nahi hota hai.  

Yah humara atinendedriya gyaan hai jo humein ghatna ka purvabhas deta hai.  Hast samudrik mein isey atinindriya rekha aur aabhas rekha kahte hai. 

Ye rekha sirf vidhwano aur pundito ke hatho mein hi paayi jaati hai ya un logo ke hatho mein hoti hai jinko purvabhas hota hai. 

Yah sabhi hatho mein nahi paai jaati hai lekin jinke hatho mein paai jaati hai vo bhavishya mein ghatit hone wali ghatnao ka sahi sahi aaklan pahley hi kar lete hai.

Aabhas rekha chandra parvat se prarambh ho kar ardhchandrakaar athva dhanushakar roop leti hui budh parvat par pahuchti hai jiske dono sirey hatheli ke bahari hissey ki taraf hote hai.

1.  Hath mein aabhas rekha paai jaane par vykti ka rojhan jyotish, paravigyan aadi rahasya vidhyao ki taraf hota hai.

2.  Yadi aabhas rekha ke sath vrihad chaturbhuj mein cross bhi ho to vykti falit jytoish mein safal vishyegya hota hai.

3.  Hath mein aabhas rekha ho aur chandrma ka upari hissa sabal ho to vykti ka vyktitva chumbakiya rahta hai aur vah jaldi hi doosaro ko sammohit kar leta hai.

4.  Aabhas rekha ka lahardar aur shakao mein banta hona ashubh hai.  Aisa vykti baichain aur aisthir soch wala hota hai.

5.  Khandit aabhas rekha se purvabhas mein utaar chadaav wali isthti rahti hai.

6.  Khandit abhas rekha dweepyukt bhi ho to vykti ko neend mein chalne ki bimari hoti hai tatha neend mein badbadata bhi hai.