Jaldi Santan Hone Ke Liye Upay


Santan Sukh Prapti Ke Liye Totka

Santan Sukh Prapti Ke Liye Totka


Shadi ko bahut saal ho gaye lekin santan sukh nahi mil raha hai.

Bahut doctors ko dikha diya aur ilaaj bhi karwa liya hai lekin maa nahi ban paa rahi ho aur is karan dono pati aur patni ka vevahik jeevan narak bana hua hai.

Bahut baar jo log aapse nafrat karte hai ya ghar ke log jo aapke sath rahte hai lekin aapke dushman hai aise log gande totke aapke upar karwa dete hai jiski wajah se santan nahi ho paati hai aur aurat aadmi ko santan ka sukh nahi milta hai.

Mangalwar ya Shaniwar ke din patni ko ye upay karna hai agar wo na kar sakein to pati bhi kar sakta hai.

Ek sooti dhaga/dora lena hai usko apni height aur apni wife ki height ke brobar kaat lena hai.

Maan lo wife ki height 5'3 hai to ek dhaga 5'3 ka kaat lena hai aur khud ki height 5'7 to ek dhaga 5'7 ka kaat liya.

2 dhagey ho gaye ek patni ka aur ek pati ka.

Ab ek sarso ke tail ka diya lena hai, agarbatti aur ek lotta pani lena hai aur ye kaam shaniwar ya mangalwar ke din naha kar karna hai.

Pati ya Patni dono mein se koi ek peepal ke ped par chala jaay sabhi samaan le kar ke.

Pehly aapko chappal uttarkar agarbatti lagani hai phir sarso ka tail ka diya jalana hai aur phir paani seechna hai aur phir aapko dono dhago ko peepal ke ped par lapet dena hai aur phir sath chakkar lagane hai aur 7 chakkar lagane ke baad aapko ye bolna hai ki "Meri samasya ko door karo aur mere ko jaldi Santaan do aur hum dono par jo bhi karwaya hua hai usko khatham karo".

Ye kaam lagatar har shaniwar karna hoga agar har shaniwar ya mangalwar na kar sako to amavasya ko kar lena lekin har mahine ki amavasya ko karna hoga.

Bhagwan ne chaha to aapko result jaldi milega aur santan ka sukh prapt hoga.

Also Read:  Garbh Dharan Ke Upay

Nitin Kumar Palmist