Dhan Rekha In Hand Hast Rekha Palmistry




dhan rekha palmistry

Dhan Rekha In Hand Hast Rekha Palmistry

(Hast Rekha Mein Dhan Rekha Ya Dhani Hone Ke Yog)


Hath Mein Dhan Rekha Kaha Hoti Hai?

Jyadatar jyotishi aur hast rekha shastri surya rekha aur bhagya rekha ko hi dhan ki rekha mante hai jo ki kafi had tak sahi bhi hai lekin dhan ke aur bhi bahut sare yog hath mein majood hote hai.

Padein - Dhani Aur Gareeb Insaan Ke Hath Mein Kya Antar Hota Hai

Aapne dekha hoga surya rekha aur bhagya rekha to bhikhari ke hath mein bhi hoti hai lekin wo to bahut gareeb hota hai. Balki aapne aise bahut log dekhe honge jinke hath mein surya rekha aur bhagya rekha ka abhav hota hai lekin wo bahut ameer hote hai.  Is isththi mein ye mana jaayga ki bhikari ka bhagya ek din badlega aur wo acchi jindgi jiyega ya usko dusare bhikariyo ki tulna mein bheekh aasani se aur acchi khasi mil jaati hogi aur dusari taraf jis ameer aadmi ke hath mein surya rekha ya bhagya rekha ka abhaav hai wah vykti nishchit hi apne pita ya purvajo ki sampati par aish moj kar raha hoga ya karega aur aisa bhi ho sakta hai wah baad mein apni sampati ka nash kar le.

Hath mein bahut sarein shubh yog bhi hote hai jaise machli, kamal, swastik ityadi hona ye sab jis vykti ke hath mein hote hai wo vykti nischit hi samaaj mein pujniya hota hai.

Bahut se logo ki kismat vivah ke baad khulti hai yani aise logo ki vivah rekha saaf aur sundar hoti hai aur surya rekha ke pass hoti hai aur bhagya rekha bhi saaf suthari hoti hai aur chandarma se shuru hoti hai.

Bahut se logo ko yatra se dusare desh mein ja kar dhan prapt hota hai aise mein unki yatra rekha unki bhagya rekha se milti hai.

Bahut se logo ko lottery aur share market se dhan prapt hota hai.  Lottery se fayda aur nuksan ke liye alag se article diya hua hai aap usko bhi pad sakte hai.

Agar hath ki teeno mukhya rekha saaf aur sundar hai aur sath mein surya rekha uar bhagya rekha bhi nirdosh hai aur sath mein shubh chinha bhi hath mein hai to hum ye kah sakte hai ki ye vykti dhani aur prasiddh vykti hoga.