Surya Rekha From Heart Line | Hast Rekha Gyan


Surya Rekha From Heart Line | Hast Rekha Gyan
Adhiktar hatho mein surya rekha heart line ke upar hi payi jati hai aur kuch hatho mein surya rekha hridya rekha se shuru hoti hui payi jati hai jiska ye arth hai ki vykti ko madhya aayu ke paschat safalta, naam aur aishwarya milega (yani sansarik sukho ka anubhav vykti ko umar 48/50 ke baad hi milega) lekin practical mein dekhne mein aata hai ki yadi vykti ke hath mein hridya rekha se surya rekha nikal rahi hai ya surya rekha heart line ke thode upar se bhi nikal rahi hai aur sath hi bahut acchi bhagya rekha hai to vykti ko jeevan mein acchi safalta milti hai (aisa vykti acche sukhi aur sampann parivar mein janam leta hai).

Kuch vidhwano ka mat hai ki aise vykti bhagya vivah ke paschat khulta hai.

Agar suyra reha hridya rekha se kafi upar hai yani surya rekha kafi chotti hai to vykti ko kafi sangarsh karna padta hai.