Surya Rekha From Heart Line | Hast Rekha Gyan


Surya Rekha From Heart Line | Hast Rekha Gyan
Adhiktar hatho mein surya rekha heart line ke upar hi payi jati hai aur kuch hatho mein surya rekha hridya rekha se shuru hoti hui payi jati hai jiska ye arth hai ki vykti ko madhya aayu ke paschat safalta, naam aur aishwarya milega (yani sansarik sukho ka anubhav vykti ko umar 48/50 ke baad hi milega) lekin practical mein dekhne mein aata hai ki yadi vykti ke hath mein hridya rekha se surya rekha nikal rahi hai ya surya rekha heart line ke thode upar se bhi nikal rahi hai aur sath hi bahut acchi bhagya rekha hai to vykti ko jeevan mein acchi safalta milti hai (aisa vykti acche sukhi aur sampann parivar mein janam leta hai).

Kuch vidhwano ka mat hai ki aise vykti bhagya vivah ke paschat khulta hai.

Agar suyra reha hridya rekha se kafi upar hai yani surya rekha kafi chotti hai to vykti ko kafi sangarsh karna padta hai.

Double Surya Rekha | Dohari Surya Rekha

Double Surya Rekha | Dohari Surya Rekha
Double Surya rekha ya dohari surya rekha hone par vykti ki life mein stability nahi aa pati hai karan uska man kisi bhi ek kaam mein nahi lagta hai.  Aisa vykti humesha ek kaam ko pura kiye bina hi dusara kaam shuru kar deta hai jis ki wajah se usko asafalta ka muh dekhna padta hai.  Halaki aisa vykti bahumukhi partibha ka dhani hota hai lekin yadi bhagya rekha acchi nahi hai to usko safalta muskil se hi mil pati hai.  Lekin agar bhagya rekha acchi hai to aise vykti ko double sun line dohara labh yani dohari aay (double income) bhi karati hai. 

Surya Rekha Par Machli Ka Chinh | Hast Rekha Gyan


surya Rekha Par Machli Ka Chinh | Hast Rekha Gyan
Surya rekha par machli ka sign nahi hota hai balki wo dweep (island) hota hai jo vykti ko kabhi na kabhi jeevan mein dhanhani, manhani, aur eyes se related samasya deta hai.

Padein:-

Machli Chinha (Fish Sign Full Detail) - English
Macchli Hast Rekha  - Hindi

Surya Rekha Par Cross Hona (Left Side/Right Side)


indian palmistry
(fig-1A)
Yadi surya rekha par cross shani parvat ki taraf (yani right side) par bana hua hai to aise vykti ka jhukaav tantra-mantra, dharmik karyo mein adhik rahta hai.   (fig-1A)


palm reading palmistry
(fig-2A)
Yadi suyra rekha par cross budh parvat ki taraf (left side) par bana hua hai to aise vykti ko vyapar mein anubhav na hone ke karan nuksan uthana padta hai. (fig-2A)