Ladkiyo Ka Kaun Sa Hath Dekha Jata Hai | Hastrekha

Ladkiyo Ka Kaun Sa Hath Dekha Jata Hai | Hastrekha

Agar aap hastrekha dekhna seekh rahe hai to aapke man mein sabse pehle ye swaal aata hai ki ladkiyo ka kaun sa hath dekhna chahiye aur saadisuda aurato ka kaun sa hath dekhna chahiye aur kaamkazi mahilao ka kaun sa hath dekhna chahiye kyuki hastrekha par likhi bahut si kitabo mein diya gaya hai ki aurato ka ulta hath yani left hand dekhna chahiye aur purasho ka hamesha right hand dekhna chahiye.

Ye baat kaafi had tak sahi hai ki hamare desh mein ladkiya jyadatar ghar mein hi rahti hai aur apne pita aur shadi ke baad apne husbnad par dependent rahti hai lekin aajkal jamana badal chuka hai aur patniya bhi apne pati ke sath kandhe se kandhe milakar chalti hai aur parivarik aur aarthik isththi mein sahyog karti hai.

Aajak har khestra mein ladkiya aagey aa rahi hai aur padhane mein bahut aagey hai jab ki pehle ladkiyo ko padhne ki ijjajat nahi di jaati thi aur unko ghar mein rahne ko kaha jaata tha.

Ab kyuki humara samaj badal raha hai aur kaafi had badal gaya hai isliye ye niyam ki ladkiyo aur aurato ka sirf ulta hath (left hand) hi dekhna chahiye aur aadmiyo aur ladko ka sirf seedha (right hand) hi dekhna chahiye puri tarah se sahi baiththa hai.

Modern palmistry mein dono hatho ko mahatv dene ka kaha gaya hai aur us se hi sahi anuman lagta hai chahe ladka ho ya ladki ho.

Aajkal jyadatar ladkiya padhi likhi hoti hai aur kaamkazi hoti hai isliye ladkiyo ka bhi right hand yani dominant hand hi dekhna chahiye aur dono hatho ko equally mathav dena chahiye kyuki ye jaruri hai ki aap bahvishya mein hone wali ghatanao ka milaan dono hatho ke dekh kar jarur kare.

Jarur Padhe - Shadi Aur Pyar Ki Rekha