Bheru ji Se Prathana Kaise Kare


 

Aap yadi kisi samasya mein hai aur aapko apani samasya ka koi hal nahi mil raha hai to aap bheruji se prathana kar sakte hai.

Bheruji se prathana karna bahut aasan hai.  Aapko sirf apne sahar ke kisi najdeek ke bheruji ke mandir mein ja kar prarthana karni hai ki 'hai bheruji mujh par ye sankat aa gaya hai aur meri madad karo mujhko is musibat se bahar nikalo' ya phir aapki koi bhi iccha jo puri nahi ho rahi ho ya phir jaise promotion ruka ho ya shadi nahi ho rahi ho uske liye bhi aap bheruji se prarthana kar sakte hai.

Bheruji jub aapki sun le tab aap unke mandir mein ja kar sharab chada de kyuki bheruji ke mandir mein jab bhi kisi ka kaam pura ho jata hai tab wo vykti bheruji ke mandir mein ja kar sharab chadata hai.

Aapke ghar ke pass bheruji ka mandir nahi hai to aap yaha diye gaye video aur photo ko dekh kar bhi apne man mein prathana kar sakte hai aur sharab ki jagah kisi gareeb insan ko bhojan karwa de ya phir dusare sahar jaha par bheruji ka mandir hai waha ja kar sharab chada de.