Hastrekha Vigyan Aur Hastrekha Shastra (Hindu Palmistry Or Vedic Palmistry)


Haath Ki Rakhae Aur Haath Ki Lakhere


hast rekha shastra aur hastrekha gyan ek hi cheez hai aur samudrik shastra mein hastrekha shastra kaha jata hai

Hast Rekha Gyan Hastrekha Vigyan Aur Hast Rekha Shastra In Hindi 

Aapki hastrekha kya kahati hai? Hastrekha jyotish se bhavishya kaise pata karte hai?


Hastrekha in hindi - Bhartiya hastrekha shastra ko samudrik shastra mein bahut sarein naamo se jana jata hai.  Lekin sabse pramukh naam hai "hastrekha vigyan" jis par hindi mein bahut sari kitabey bazar mein hai "hastrekha gyan" ke naam se uplabdh hai.

Bharat mein hastrekha (palmistry) isliye bahut log dikhate hai kyuki unke pass apni kundli nahi hoti hai adhikansh logo ko apne janam ka samay aur janam ki tarikh ka pata nahi hota hai isliye aise mein unke pass ek hi sadhan bachta hai ki wo log kisi acche palmist se apna hath dikhwa kar apna bhavishya jaan sakte hai.

Hastrekha se bhi acche aur bure samay ka anuman lagaya ja sakta hai aur vykti ko saavdhan kiya ja sakta hai. Hath mein mukhya rekha, prabhav rekha aur chinho se aayu, swabhav, durghatna, vivah aur rojgaar ka pata lagaya ja sakta hai.

Tags: hastrekha vigyan in hindi with photo, हस्त रेखा शास्त्रhastrekha in english

Padein:- Hastrekha Vigyan Ko Seekhein

Hath ki lakir in hindi Hast rekha vigyan ek bahut pracheen vidhya hai jis ke jariye vidhwas jyotishi hath ki lakiro ko pad kar vykti ka bhavishya batata hai.  Hast rekha gyan jyotish vidhya ki ek atyant prabhavshali shaka hai jis ke bina jyotish adhura hai.

Hath ki rekhao ka gyan in hindi - Hast rekha mein sirf vykti ke hath ko padna hota hai aur uske liye kisi dusari cheez ki jaroorat nahi hoti hai.  Hast rekha mein jyotish ki tarah vykti ke janam ki tarikh aur samay ki jarurat nahi hoti hai aur na hi janam isthan ki jarorat padti hai.  Sirf vykti ki hatheli ki rekha ko padh kar ki vykti ke bhagya ka faladesh bataya ja sakta hai.

Hast rekha gyan in hindi with picture - Hast rekha mein teen-chaar mukhya rekha hoti hai jinko pradhan rekha kaha jata hai aur phir saat se aath uprekha hoti hai yani ki wo mukhya rekha nahi hoti hai.

Hast rekha gyan in hindi with picture for male and female - Hast rekha mein vidhwano ke alag alag mat hai aur vibhinn-vibhinn pustako mein virodhabhas bhi hai isliye jo log hast rekha seekh rahein hai unko chahiye ki wo khud khoob practical karein aur sabhi niyamo ko khud apnakar dekhein aur phir tay karein ki unke liye kon sa niyam kaam kar raha hai aur kon sa niyam kaam nahi kar raha hai.

Hast Rekha mein jab new palmist practical karta hai tab wo khud par hi practical karta hai aur us wajah se wo nirash ho jata hai kyuki usko samajh nahi aata hai ya phir apne parivar ke logo par hi ek pustak pad kar sabhi niyam aur yog dekhne lag jata hai jis ki wajah se usko nirasha hoti hai aur wo beech mein hi haar maan leta hai.  

Jab ki vykti ko chahiye ki wo kam se kam rozana 10 logo ka hath dekhein aur kitab mein diye hue niyamo ko apply karein.  Ek baar niyam apply karne par agar galat sabhit hua to iska matlab nahi ki har baar galat hi milega matlab vykti ek niyam ko bahut se logo par apply karna chahiye aur phir nishkarsh nikalana chahiye ki wo sahi hai ya nahi hai.

Hastrekha seekhne mein bahut samay lagta hai aur sirf matra apna aur apne parivar ki hast rekha dekh lene se aap hast rekha shastri nahi ban sakte hai.  

Aapko nirantar pustako ko padna hoga aur sab se jaoroori hai practical karna aur wo daily kam se kam 10 logo par practical karna aur phir unka apni kitab ya diary mein notes banana kyuki yaad rakhna bhi behad jaroori hai.

Aapne kisi vykti ki hastrekha dekhi aur aapko new cheez (koi nayi rekha) dekhne ko mili to aapko apni diary mein note kar leni chahiye kyuki baad mein bhool jaate hai aur dimaag se utar jaata hai. 

Hast rekha mein aapko har vykti ke hath mein kuch na kuch nayi cheez dekhne ko milegi chahey uski ungliya chotti-badi ho, ya koi rekha chotti ho, rekha nahi ho is tarah se bahut sari cheeze aapko seekhne ko milegi.

Hast rekha seekhe ka sabse accha tareekha hai rozana practical karein aur apni diary mein chitra (image ya picture) bana kar uske neeche likhe uske barein is se samajhne mein aasani hoti hai.

Starting mein chotti chotti cheezo ko seekhein aur phir dheere dheere agey badein.  Aap dekhogey ki aapko apne aap aane lag jaaygi.  Starting mein hast rekha muskil lagti hai lekin baad utani hi aasan lagti hai lekin jo vykti starting mein detail mein chala jata hai usko phir kuch bhi samajh nahi aata hai.  

Isliye starting mein sirf main lines ko padna seekhe aur phir dusari rekhao ko padna seekhein.

Hastrekha mein sabse important line Jeevan rekha hoti hai us se aadmi ke parivar aur tabiyat ka pata chalta hai phir hridya rekha aur phir mastak rekha.  Waise to ye teeno rekha ka mahatv barabar hi hai lekin phir jeevan rekha ko jyada importance di jaati hai kyuki wo praan rekha hai.

Aaj ke yug yani ki kalyug mein paisa hi sabkuch hai aur paisa bhagya se milta hai isliye sabse important line bhagya rekha hai jo vykti ke acche aur bure din yani kab vykti ka bhagyoday hoga wo batati hai.  

Jis samay vykti ka bhagyoday hai bhagya rekha par us umar se vykti ke pass paisa aana shuru ho jata hai matlab uska golden period shuru ho jata hai us se pehly lakh kosheesh karne par bhi uske pass paisa nahi aata tha lekin jab se uska golden period shuru hota hai tab se uske ghar pe paiso ki barsat shuru ho jaati hai.  

Bhagya rekha se aur bhi bahut sari baato ka pata chalata hai jaise vivah kaisa hai, lottery aur share market mein loss, dhan ka nash, karza, naukri kab lagegi, etc.

Bhagya rekha ke baad surya rekha sab se important rekha hai aur aap is rekha ko najarandaz nahi kar sakte ho kyuki ye hi rekha maan aur samaan dilati hai.  

Surya rekha ko bhagya rekha ki bahan yani ki sister line kaha jata hai kyuki bhagya rekha ko surya rekha bal deti hai aur agar bhagya rekha acchi hai ya vykti ka golden period chal raha hai aur surya rekha acchi hai to vykti ke pair jameen par nahi padte hai.  

Is ke viprit agar surya rekha khrabh hai to vykti gareeb aur nirdhan rahta hai aur apyash milta hai.  

Vivah rekha bhi hath mein sabse important hai lekin ye rekha sabse jyada virodhabhasi rekha hai matlab is rekha ko lekar koi ek mat nahi hai sabhi vidwan is rekha ko le kar confused hai aur sabhi alag alag raay rakhte hai.  

Mein ek baat clear kar deta hu ki ek se adhik vivah rekha ka matlab ye nahi hai ki utane vivah honge jitani vivah rekha hai aur na agar ek hi vivah rekha to ek se jyada vivah nahi ho sakta hai aur agar vivah rekha nahi hai to vivah hoga hi nahi ye baat bhi satya nahi hai.  

Jis ke hath mein vivah rekha nahi hoti uska bhi vivah hota hai kyuki hath mein vivah ke aur bhi sanket hote hai aur jis ke hath mein ek se jyada vivah rekha hai uska koi jaroori nahi ki vivah baar-baar ho kyuki is pariisthithi mein bhagya rekha aur mangal rekha ko bhi dekha jata hai.  

Vivah rekha sadhu sanyasi aur vaisyao (prostitutes) ke bhi hoti hai us condition mein ye hota hai ki wo aurat pyar to ek se hi karti hai lekin ye uska paisa hai jiske hath mein dusare yog bhi hote hai.  Sadhu agar wastav mein sadhu hai wo sadhu nahi jiske bacche ho uske hath mein vivah rekha hona matlab kisi khas mitra ya anuyayi ke parti bhavnatmak shudh prem.

Vivah rekha se sex life ka bhi pata lagaya jata hai aur sex related disease ka bhi pata lagaya jata hai aur bahut sari baatein jo shadi aur sex se related hoti hai unka chitran ya faladesh vivah rekha se prapt kiya ja sakta hai.

Santan rekha vivah rekha ke sath hi hoti hai lekin ab santan ko count karna sambhav nahi hai kyuki log contraception or condom aur birth control pills ya phir nasbandi karwa lete hai jis wajah se santan rekha ka prediction jyadatar galat ho jata hai waise santan ka pata karene ke liye anghute ke neeche yav ko bhi pada jata hai aur shukar parvat par khadi rekha ko bhi pada jata hai lekin jo baat maine upar likhi hai ki aajkal shaadi se pehly hi parivar niyojan ki planning kar li jati hai ki humko sirf itane bacche hi karne hai aur bharat mein "hum do aur humare do" ka riwaz ya chalna ban gaya hai. 

Is hastrekha ki website mein hindi aur english dono mein articles likhey gaye hai aur sabhi lines aur signs ke barein mein details se bataya gaya hai.  Aap hindi articles ki list ko open kar ke pad sakte hai.

Pradhan Rekhae (Main Lines)

1. Jeevan Rekha (Line of Life)
2. Mastisk Rekha (Line of Head)
3. Hridya Rekha (Line of Heart)
4. Surya Rekha (Line of Sun)(Nitin Kumar Palmist)
5. Bhagya Rekha (Line of Fate)
6. Swastaya Rekha (Line of Health)

Gaun Rekahe (Secondary Lines)

1. Mangal Rekha (Line of Mars)
2. Vasana Rekha/Suman (Line of Via Lascivia)(Nitin Kumar Palmist)
3. Vivah Rekha (Line of Marriage)
4. Atinindhriya Rekha/Chandra Rekha (Line of Intution)(Nitin Kumar Palmist)
5. Putra-Putri Rekhae/Santan Rekhae (Line of Sons and Daughters)
6. Bhai-bahan Rekha (Line of brothers and sisters)
7. Mitra Rekhae (Line of Friends)
8. Bandhav Rekhae (Lines of Relatives)
9. Yatra Rekahe (Lines of Travels)
10. Manibhandh Rakhae (Lines of Bracelates)(Nitin Kumar Palmist)
11. Diksha Rekha/Guru mudrika/Bhrihaspati chandrika (Ring of Soloman)
12. Shani Chandrika (Ring of Saturn)
13. Surya Chandrika (Ring of Sun)
14. Budh Chandrika (Ring of Mercury)
15. Shukra Mekhela (Girdle of Venus)
16. Vidhya Rekhae (Line of education)
17. Nikrist Rekahe (Worst Lines)
18. Prabhavik Line (Line of Influence)
19. Rahu Rekha (Line of Worry)(Nitin Kumar Palmist)
20. Aadi Rekhae (Vertical lines)
21. Khadi Rekhae (Horizontal lines)
22. Sahayak Rekha (Supporting Line)
23. Urdho Rekhae (All the lines ascend towards the fingers)
24. Kapi Rekha (Triangle in the end of the Life, Head, Heart, Sun and Fate Lines)
25. Sarpa Rekha (Wavy Line)(Nitin Kumar Palmist)
26. Kuthara Rekha (Sword like sign)
27. Machhli/Macchli Rekha (Fish tail/Fish Sign/Fish Line)
28. Khandhit Rekha (Split Line)
29. Yavmala (Chained line)(Nitin Kumar Palmist)
30. Gopuch Rekha (Cow tail)
31. Dweeshakayukt Rekha (Forked Line)
32. Janjirdaar Rekha (Crossed line)
33. Siddidaar Rekha (Ladder type line)
34. Kamsutra Rekha/Kamshakti Rekha (Lust Line)


Haath Pr Chinha

1. Gunaak Chinha(Cross Sign)
2. Nakhastra/Tara Chinha(Star Sign)
3. Trikon Chinha (Trangle Sign)(Nitin Kumar Palmist)
4. Varg/Chatuskaun Chinha (Square Sign)
5. Dweep Chinha (Island Sign)
6. Macchli/Matsya Chinha (Fish Sign)
7. Jaal Chinha (Grill Sign)(Nitin Kumar Palmist)
8. Magarmacch Chinha (Crocodile Sign)
9. Shankh Chinha (Conch Sign)
10. Khstara/Dandh/Dhvaja/Chanwar/Pataka Chinha(Flag Sign)
11. Sinhasan Chinha(Throne Sign )
12. Dhanush Chinha (Bow Sign)
13. Kamal Chinha (Lotus Sign)
14. Parvat Chinha (Rock Sign)
15. Bhala Chinha (Spear Sign)
16. Talwar Chinha (Sword Sign)
17. Mayur Chinha (Peacock Sign)
18. Ghada Chinha (Pot Sign)
19. Darpan Chinha (Mirror Sign)
20. Trishul Chinha (Trident Sign)
21. Ped Chinha (Tree Sign)
22. Mandir Chinha (Temple Sign)
23. Swastik Chinha



You May Also Like - Hindu Lines In Palmistry

Name Of Hindu Signs and Symbols In Palmistry