Tribujh Aur Hast Rekha ( Meaning of Triangle In Palmistry )
Tribujh Jeevan Rekha Ya Aayu Rekha Par (Triangle On Lifeline)
Yadi vykti ke right hand ki lifeline ke starting mein triangle sign hai to aisa triangle us vykti ki bimari se suraksha karta hai bachpan mein aur yadi aisa triangle jeevan rekha ke end mein health line se bana ho aise vykti ki mrityu lambi bimari ke baad hoti hai. Yadi triangle lifeline ke center mein ho to aise vykti us tribujh ke karan rog-shok or mrityu ke bhay se chutkara paa leta hai.
Yadi vykti ke hath mein headline pr triangle hai to wo bahut shubh mana jata hai. Agar headline ki starting mein triangle hai to bachpan mein wo vykti hosiyaar hota hai. Yadi triangle fate line or headline se ban raha ho to aisa vykti dharmik karyo mein roochi leta hai. Yadi triangle health line or headline se ban raha ho to aise vykti ko mansik chinta bani rahati hai.
Yadi vykti ke hath mein heartline pr triangle surya rekha ki madad se ban raha hai to aisa vykti pratibhashaali hota hai. Yadi hridya rekha pr tribhuj jeevan rekha se ban raha hai to aisa vykti dhanwan hota hai. Yadi triangle heartline pr health line se ban raha hai to aise vykti ko blood se related disease hoti hai.
Yadi vykti ke hath mein triangle sun line pr hai to aise vykti ko kala ki field mein safalta milti hai.
Yadi vykti ke hath mein triangle fate line pr hai to aisa vykti jeevan mein ek jaisa jeevan jeena pasand karta hai.
Yadi vykti ke hath mein triangle health line pr hai to aise vykti ko lambi bimari ka samna karna padta hai.
Yadi vykti ke hath mein tringle mars line pr hai to aise vykti ka sahas dugna ho jata hai.
Yadi vykti ke hath mein triangle travel line pr hai to aise vykti yatra ke dauran durghatana ka samna karna padta hai lekin wo bach jata hai.