Cross Ya Dhan Chinha Ka Graho Aur Rakhao Par Prabhaav



Cross Sign Ka Parvato Par Matlab Kya Hota Hai ?


Cross Sign Ka Parvato Par Matlab Kya Hota Hai ?

Cross Guru Parvat Par:- Guru parvat pr cross faldayak hota hai. Aisa vykti prem ke matter mein bhagyashali hota hai. Aise vykti ka vivah acche kul (gharane) mein hota hai. Yadi yah cross index finger ke neeche hai to vykti ka vivah ya prem sambhandh kaafi late 40 ke baad ki umar mein hota hai aur yadi jeevan rekha aur index finger ke beech mein hai to vykti ka vivah 30 ki aayu ke baad mein hota hai aur yadi cross jeevan rekha ke sameep hai to aise vykti ka vivah ya prem sambhandh kishoravastha mein ho jata hai. 

Yaha pr aapko vivah rekha ko bhi mahtav dena hoga aur cross independent hona chahiye. Guru parvat pr cross hone pr vykti ki vichardara adarshvadi ho jati hai aur vo dharmik karyo mein roochi leta hai lekin yadi cross ko koi avrodh rekha kaat de to cross ka shubh fal ashubh fal mein badal jata hai.

Cross Shani Parvat Par:- Shani parvat pr cross ashubh fal deta hai. Aisa vykti dubhagyashali hota hai. Aisa vykti dharmandh hota hai. Yadi cross middle finger ke neeche ya sameep hai to aisa vykti ko santaan nahi hoti hai aur aisa vykti tantra mantra aur jadu tona karne wala hota hai.(Nitin Kumar Palmist)

Cross Ravi Parvat Par:- Ravi parvat pr cross hone pr aise vykti ko sarkari naukari aur vykti ko apni prtibha ke khestra mein bhi asafalta ka mooh dekhna padta hai. Aisa vykti jitana pryas safalta ke liye karta hai usko utni hi nirasha milti hai.

Cross Budh Parvat Par:- Budh parvat pr cross hone pr aisa vykti jaalsaaj hota hai. Aisa vykti baimaani se paisa banata hai. Aisa vykti doosaro ko sadaiv dhoka deta hai.

Cross Chandra Parvat Par:- Chandra parvat pr cross hone pr aise vykti ko paani se bhay rahata hai, madhumah (diabetes) ka rog ho jata hai. Aisa vykti sadaiv najle, jukaam (sinus) se paresaan rahata hai aur aise vykti ka vivah late hota hai. Chandra parvat pr cross ka chinha ashubh faldayak hai. (http://indianpalmreading.blogspot.com)

Cross Ketu Parvat Par:- Jis manushya ke hath mein cross ka chinha ketu parvat pr ho to aise vykti ka bachpan gumnami mein gujrata hai aur wo bachpan mein beemar rahata hai. Aise vykti ko charam rog hone ki sambhavna rahati hai.

Cross Shukar Parvat Par:- Cross shukar parvat pr adarsh prem ko darshata hai. Yadi cross jeevan rekha ke sameep ho to aisa vykti sanyasi ban jata hai ya jail jata hai ya phir aise vykti ka sambhandh apne parivar se accha nahi rahata hai. Shukar parvat pr cross hone pr aise vykti ko guptang se sambhandhit rog ya uski prajanan shakti kam ho jaati hai.

Cross Mangal Parvat Par:- Cross mangal parvat hone pr vykti krodhi hota hai aur krodh ke chalte wo hatya jaisa dushkaram kar deta hai ya phir aatam-hatya kar leta hai. Aisa vykti karagaar (jail) bhi ja sakta hai. (Nitin Kumar Palmist)

Cross Rahu Parvat Par:- Cross Rahu parvat pr hone pr vykti ko yuvakaal mein kaafi dukh dekhne padte hai karan parivar mein kisi ki death ho jana ya phir achanak dhan hani ho jana. Aise vykti ko jeevan ke shuruwat mein kaafi samasyo se gujarana padta hai.

Cross Jeevan Rekha Par:- Jeevan rekha pr cross hone pr vykti ke sambhandh apne parivar walo se kabhi acche nahi rahate hai. Jeevan rekha ke shuru mein cross accident darshata hai aur beech mein pet (stomach) se sambhandhit bimari darshata hai aur jeevan rekha ke end mein cross hone pr jaanleva bimari darshata hai.

Cross Mastak Rekha Par:- Mastak Rekha pr cross hone pr manshik chinta aur sir dard ki bimari ho jati hai. Aise vykti ko sir mein chot lagti hai. Aise vykti ki eyes kamzor ho jati agar surya parvat ke neeche headline pr cross ho to. (Nitin Kumar Palmist)

Cross Hridya Rekha Par:- Hridya rekha pr cross hone ka matlab hai vykti ka hridya durbal hai. Aisa vykti dayalu hota hai jiski wajah se wah kai baar dokha khata hai. Aisa vykti chotti si musibat ko dekh kar bahut jaldi ghabra jata hai.

Cross Ravi Rekha Par:- Aise vykti ko apne karyo aur paryaaso mein safalta nahi milti hai. Aise vykti ko dhanhani hone ki sambhavna rahti hai aur badnami bhi mil sakti hai.

Cross Bhagya Rekha Par:- Bhagya rekha ke shuru mein cross hone pr bachpan mein takleefe dekhni padti hai aur yadi bhagya rekha mein cross beech mein hai to dhanhani hoti hai aur yadi aakhir mein hai to aise vykti ka bhagya sath nahi deta hai.

Cross Swasthya Rekha Par:- Swasthaya rekha pr hone ka matlab hai lambi bimari. Aisa vykti apne jeevan se nirash aur udas hota hai.

Cross Vivah Rekha Par:- Vivah rekha pr cross hone pr vivah dukhmay hota hai karan kuch bhi ho sakta hai.

Cross Santan Rekha Par:- Santaan Rekha pr cross hone pr aise santan jeevit nahi rahati hai.

Cross Mangal Rekha Par:- Cross Mangal Rekha par hone par vykti darpok ho jata hai aur aisa vykti sharirik roop se kamzor ho jata hai.

Cross Yatra Rekha Par:- Cross yatra rekha pr hone ka matalb hai asfal yatra aur accident travel karte waqt.


Nitin Kumar Palmist