Prabhav Rekha Ka Arth | Hast Rekha Gyan



prabhav rekha vykti ke jeevan mein bahut bada badlav laati hai

Vytki samaaj mein rahta hai. samaj ka prabhav sabse jyada uske man tatha mastik pr padta hai . Ishi samaaj mein rishtedaar, bhaai-bandhu, mitra ityadi shamil hote hai.

Vykti ke uthan-patan mein inhi sab logo ka yogdaan rahta hai. Vkti inke dwara padne wale sakaratamak prbhaav awam yogdaan se prasan hota hai tatha nakaratamak prbhav awam vigano se dukhi awam chintit hota hai. Jeevan bhar vykti inhi ke beech apne jeevan ka sanchalan karta hai.

Inhi ke karan jeevan mein anek prakar ke utar chadaav dekhne ko milte hai jo use kabhi kabhi bahut adhik tath gahraai tak prbhavit kar dete hai. Inse milne wale acche aur bure prbhaavo se vykti ka jeevan bahut adhik prbhavit hota hai.

Hastrekha shastra mein ye acche bure prbhav rekhao ke madhyam se jatak ki hatheli pr drishtigochar hote hai. Jin rekhao dwara ye prakat hote hai, unhe chinta rekha athwa prbhav rekha kaha jata hai.

In prbhaav rekhao ke madhyam se vykti ke bareein mein kaafi aur sateeek jaankari mil sakti hai, jo is prakaar hai-

Vykti ko shukra, mangal awam chandra khestra se udit hone wali prbhaav rekha swarwadhik prbhavit karti hai. Mukhya rekhao yatha jeevan rekha, hridya rekha, bhagya rekha, mastak rekha ityadi ke atirikt in prbhaav rekhao se bhi jatak prbhavit hota hai.

Ye prbhaav rekhay mukhya rekho ke falo ko parivartit karne ki shamta rakhti hai.

net sign on hand jaaal
( Chitra 219 )

Hatheli mein sabse bada khestra shukra ka hota hai tatha jyadatar prbhav rekhay yahi isthit hoti hai. Inme se kuch spasth hoti hai tatha kuch bareek bareek awam jaal se dikhai padti hai. Inhe chinta rekhay kaha jata hai jo chinta utpann karne ka karan banti hai tatha manshik aur sharirik durbalata ki taraf ishara karti hai. (dekhe chitra sankhya 219)
venus line shukra rekha
( Chitra 220 )

Sukra awam niman mangal se udit chotti chotti prbhav rekhay jitani baar jeevan rekha ko kaatti hai, jatak ke jeevan mein ristedaaro awam mitro ka utana hi dhakal hota hai. Yadi inki sankhya adhik ho to ye jatak ke liye chinta ka karan ban jaati hai. (dekhe chitra sankhya- 220)

nimn mangal ki rekha
( Chitra 221 )

Kai baar shukra khestra pr mangal rekha ke samantar rekhay chalti hai jo jatak pr viprit ling jaatako ka prbhaav darshaati hai. Yadi ye apna rasta badal le to us avadhi mein jaha se ye parivartit hoti hai waha se jatak pr unka prabhaav kam hona shuru hota hai. Yadi aage ki avadhi tak ye rekhay gahri hoker chale to jatak pr ungka gahra prabhav hota hai. (dekhein chitra sankhya-221)

Shukra se udit prbhav rekha, jeevan rekha ko kaat kar brihaspati tak pahuchey to jatak mahatvakanshi awam dhambi ho jata hai. Sath hi ya rekha yadi kisi aadi rekha dwara bhadhit ho jaay to yah asafalta dharshati hai. Parantu yahi rekha jab kisi sitare se sanyong kr le (brhispati pr) to yah jatak ko safal siddh karti hai. Ukt prbhav rekha brihaspati tak aay tath achanak hi mod le kar shani khestra pr pahuch jaay to jatak dharmikta ka awaran od kr apni aajeevika chalata hai. (dekhein chitra sankhaya-222)

Sukhra kestra se udit prbhav rekha, jeevan rekha se udit kisi urdhav rekha ko kaatti hui shani ke kehstra pr pahuche to jatak ka vevahik jeevan vighatan athva kalesh purna vevhahik jeevan hota hai. (dekhein chitra sankhya-223)

Iske atirikt shukra/nimn mangal se udhit prbhav rekha shani khestra pr pahuchkar dwishakha ka roop dharan kr le to yah durghatana athva dukhad vevhahik jeevan darshati hai. Arthat dukhad vevavhik jeevan hi ek durghatana siddh hota hai. (dekhe chitara sankhya - 224)


Shukra athawa mangal se udit prbhv rekha ka madhyama ungli ke tritiya parva mein prevesh karna aurato mein garbhashay sambandhi vikarao ke karan santan prapti mein badha darshata hai. (dekhe chitra sankhya - 225)

Sukhra khestra se udit prbhav rekha seedhi surya parvat pr pahuche to jatak ki unnati awam yash vridhi mein uske ristedaro awam mitro ka sahyog rahta hai. Yadi yah prbhaav rekha lahardaar hokar chale to safalta awam yash mein badha hoti hai. (dekhe chitra sankhya -226)

Angoothe ke doosare pore se chalkar aane wali prbhaav rekha, jeevan rekha ko kaat de to jaatak ka koi ristedaar athava mitra uske sath dokha karta hai. Iske viprit yahi rekha yadi angoothe ke pahle pore se chalkar jeevan rekha ko kaat de to kisi ristedaar ki vishawasghat ki wajah se jatak ki kisi hathiyaar se mrityu ho sakti hai. (dekhe chitra sankhya-227)

Kisi ardhchndrakar rekha ke jeevan rekha ko kaatne pr jatak ki mrityu ya mrityu tulya kasth ho sakta hai, kyuki aise awastha mein jeevan rekha mein pranshakti ka pravah ruk jata hai. (dekhey chitra sankhya - 228)

Shukra se udit prbhav rkeha yadi jeevan rekha, bhagya rkeha, mastak awam surya rekha ko kaati hui urdhav mangal pr pahuche to kisi parichit ki wajah se jatak ke sir mein chot lag sakti hai. Iske viprit urdhva mangal pr rekhao ka jaal ho athwa urdhav mangal viksit ho to aise isthiti mein jatak mein krodh ki matra adhik hone ki wajah se wah swayam doosaro ko chot pahucha sakta hai.

Sukra se udit prbhav rekha yadi bhagya rekha ki sahayak rekha bankar chale to jatak ki bhagyavridhi mein ristedaaro awam swayam ka pryaad sammalit rahta hai. (dekhey chitra sankhya-229)

Sukra athawa mangal se udhit prabhav rekha bhagya rekha ko kaatkar chandra parvat se sanyog karein to jatak ke rojgaar mein viprit ling waalo ke hastchep ki wajah se durbhagyapurna sithti utpann ho sakti hai. (dekhein chitra sankya-230)

Shukra se udit sabal prabhav rekha budh pravat pr pahuche to jatak ke vyaparik athava gyan vigyan sambhandhi labho mein isthmitro awam ristedaaro ka sahyog rahta hai. (dekhein chitra sankhya - 231)

Prabhv rekha ke hridhya rekha dwara bhadhit hone pr kisi ristedaar, bhai bandhu ke vishaswasghat ke karan hridhya rog ho ya man vythit hota hai. Yadi yah rekha badhit na ho to tatha hridya rekha ko kaatkar bahar aa jaay to jatak ke prem sambandho athava bhavnatmak lagaav mein uske sambhandhi badhak bante hai. (dekhein chitra sankhya-232)

Mastak rekha awam hridya rekha ko kaatkar budh parvat pr pahuchane wali prabhav rekha talaak ki sambhavna bada deti hai. Sath hi wah anuraag rekha ko bhi kaat de to algaav avashya hi hota hai. Divibhajit prbhav rekha hridya rekha dawara bhadhit hone pr bhi pati-patni mein algav paida krti hai. (dekhein chitra sankhya-233)

Anurag rekha ko kaatne wali prbhav rekha yadi dwepyukt ho to kisi pshadyantra ke phalsawaroop vivhahit jeevan mein algav hot hai. (dekhein chitra sankhya-234)


Lekh aagey jaari rahega aur chitra kal diye jaayengey......