Dukan Ki Bikri Badhane Ke Liye Saral Totka/Upay

दुकान की बिक्री बढ़ाने के उपाय  


Dukan Ki Bikri Badane Ke Liye Saral Totka/Upay


Dukaan Nahi Chalti To Karein Ye Saral Upay

Lakh kosheesh karne par bhi dukan nahi chal rahi, vyapar nahi bad raha, grahak nahi aa rahe aur saman nahi bik raha hai to is post ko dhyan se pade.

Jin dukandaro ki factory ya shop bahut kosheesh karne ke baad bhi nahi chal rahi hai aur karza badta ja raha hai to wo log ye achook totka kar ke dhan labh prapt kar sakte hai.
Jyadatar aajkal log ek dusare ki tarakki se jalte hai aur man mein jalan rakhte hai. Is karan wash dukan par nazar lag jati hai ya phir bahut baar dushman dukan par kriya karwa dete hai jis se achanak dukandari chopat ho jati hai.
Dukan par sale hona hi band ho jati hai aur naubat dukan band kar ne ki aa jati hai.
Bahut bar dukan ke main gate par log koi cheez daal dete hai ya tona totka kar dete hai jis se dukan mein nazar lag jati hai aur wo bandish mein aa jati hai.
Jab ek baar dukan bandh di jati hai to uske baad us dukan ko kholna bahut aur wapis chalana bahut muskil kaam hota hai.
Dukan ka malik bhatakta rahta hai sabhi jagah par usko tod nahi mil pata hai nateeza yahi hota hai ki uski dukan bik jati hai ya band ho jati hai aur wo karzdar ban jata hai.

Ab aapko kya karna chahiye apani dukan ko buri nazar se bachane aur dukan ki bikari badane ke liye taki aapko acchi income ho sake.
Mein kuch saral upay de raha hu wo karne se aapko labh hoga aur aapki dukan buri najar se bachi hui rahegi-
1). Sabse pehly dukan par shipatik ka kachua (tortoise) north-east mein rakhe aur tortoise ka face north ya east ki taraf rakhe aapko labh hoga.
Tortoise par agarbatti karein. Tortoise ke sath plate bhi le le aur usko us plate mein rakhein.
2). Maruti yantra mangalwar ke din apni dukan mein south ki diwar par isthapit kar de ya south ki wall ki taraf rakhe aur mangwal ko thoda gud ka daan karein (gaay ko 100 gm gud khila diya karein mangalwar ke din). Maruti yantra se kisi bhi tarah ka kala jadu aapki dukan par asar nahi karega.

3). Ye totka guruwar ko shuru karna hai aur har guruwar ko karna hai. Dukaan ke mukhya dwaar (main gate) ke ek kone (corner) ko gangajal se shudh kr lena hai aur shudh karey hui jagah pr aapko haldi se swastik banana hai aur phir us swastik pr gud aur chawal chipka dena hai aur agarbatti karni hai. Aisa aapko har guruwar karna hai. Ye kaam aapko subah 11 baje se pehly karna hai.

Aapko swastik banane ke baad usko baar baar nahi dekhna hai warna aapko fayde ki jagah nuksan bhi ho sakta hai.


Ye sab upay karne par bhi dhande mein labh nahi ho raha hai aur vyapar nahi chal raha hai to neeche diye hue upay ko kare kyuki ye aur bhi powerful upay hai jisko karne se business mein safalta milne lag jati hai.
Dukan ke bahar se thodi si mitti leni hai aur us mitti mein thodi si lal mirch pisi hui aur thoda sa namak mila dena hai aur dukan ka malik apne upar se 7 baar ghuma le aur phir dukan mein bhi ghuma le (ek baar) phir us pudiya ko jis mein ye teeno cheez aap daal rakhi hai usko dukan ke bahar le ja kar ke sadak par jala dena hai aur bolna hai jis kisi ka bhi kiya hua hai uska usko hi wapis ho jaay aur agar sirf najar dosh hai to wo door ho jaay.

Ye upay bahut powerful hai aapko kuch hi dino mein iska asar dikhne ko milega aur agar kuch dino baad wapis aapko lagta hai ki kisi ne kuch kar diya hai to aap wapis is upay ko repeat kar sakte ho.