Mounts Under Fingers In Hindi Palmistry | Hastrekha


Mounts Under Fingers In Hindi Palmistry | Hastrekha


 Hath mein ungliyo ko vibhin naamo se jana jata hai.  Unke naam aur swami garho ka parichay is prakaar hai :-

Ungliyo Ka Parichay Aur Unke Swami - Hastrekha


Hath mein ungliyo ko vibhin naamo se jana jata hai.  Unke naam aur swami garho ka parichay is prakaar hai :- 

1).  Tarjani Ungli:- Anguthe ke pass wali pehli ungli ko tarjani ungli bolte hai aur iska swami guru grah hai aur iska gun hai :- gyan, natritva, aur abhilasha.


2). Madhyama Ungli: Tarjani ke pass wali ungli ko madhyama ungli bolte hai aur iska swami shani grah hai aur iska gun hai:- dharam, aur karam.


3). Anamika Ungli: Madhyama ke pass wali ungli ko Anamika ungli bolte hai aur iska swami surya grah hai aur iska gun hai:- Dhan-dolat aur Naam.

4). Kanistha Ungli: Anamika ungli ke pass wali ungli ko Kansitha ungli bolte hai aur iska swami hai Budh grah aur iska gun hai:- vigyan, vyavsaay aur chalaki.  



Ungliyo ki lambai ka fal is prakar hai:-


1).  Lambi ungli ho to vykti baat ki tah tak jaane wala awam acchi yaddast wala hota hai.


2). Bahut lambi ungli hone pr vykti swarthi, shankalu, aur doosaro mein kami doondhne wala hota hai. 


3). Ausat prakaar ki ungli (na lambi ho aur na hi chotti ho) to vykti santulit vicharo wala hota hai.


4). Lambi patli ungli hone pr vykti kushal rajneta aur chalak hota hai.


5). Lambi moti ungli hoe pr vykti sharirik aur bhotik sukho ko jyada mahatav dene wala hota hai.


6). Chotti ungli wala vykti jaldbaaz hota hai aur turant faisla leta hai aur lottery aur jua ka shouakeen hota hai.  


7).  Bahut chotti ungli wala vykti murkha ki tarah vyawaar karta hai aur swarthi hota hai.



Vibhin ungliyo ki lambai ka fal:


1). Tarjani: swami brihaspati hai-


a). Lambi:- Hakumat ki ikcha, mahatvakanshi

b). Bahut lambi:- Tanashai, nirdayi
c). Chotti:- Jimmedari se bachna, heenbhavna
d). Tedi:- Chaal-chalan theek na hona

2). Madhyama: swami shani hai-


a). Lambi:- Doordarshi, satark

b). Bahut lambi:- Nirashawadi, dukhi, vivah mein vilambh
c). Chotti:- Utsahheen, andhvishwasi, bhagyawadi
d). Tedi:- Mansik tanwaav

3). Anamika: swami surya hai-

a). Lambi:- Kalakaar, kala-sahitya ki taraf jhukaav

b). Bahut lambi:- Jua, lottery ka shok, dhan lolulpata (ameer banane ki chahat)
c). Chotti:- Kala se dhan prapt karne ki ikchha
d). Tedi:- Thag 

4). Kansthita: swami Budh hai-


a). Lambi:- Bahumukhi, khusal vyasvsaayi

b). Bahut lambi:- Accha chikitsak, shilpkaar, gunni vykti
c). Chotti:- Jaldbaaz, sharabi, mootra rog
d). Tedi:- Baimaan


Ungliyo ke parv: Ungliyo ko modne pr yah teen bhago mein bat jaati hai aur ye sabhi hisse pore kahlate hai.


1).  Pahla parv bada ho to vykti jigyasu, seekhne ki chahat rakhne wala hota hai.

2). Doosara parv bada ho to vykti dekhkar seekhta hai aur accha technician hota hai.
3). Teesara parv bada ho to vykti kushal vyapaari hota hai.

Ungliyo ke beech khaali jagah: Ungliyo ko apas mein sata kar dekhne pr jagah najar aati hai.  Yadi sabhi ungliyo ko apas mein jodhne pr khaali jagah najar aati hai to aisa vykti dhan jod nahi pata hai aur yadi ungliya apas mein judi hai aur koi bhi jagah khaali najar nahi aa rahi hai to aisa vykti kanjoos hota hai.


1). Tarjani aur madhyama mein doori:- swatantra vichardhara

2). Madhyama aur anamika mein doori:- Doordarshita ki kami
3). Anamicka aur kanshita mein doori:- acchi vyaparik budhi


Nitin Kumar Palmist

(http://indianpalmreading.blogspot.com)