Surya Aur Guru Parvat Par Trishul Hona Hast Rekha



Trishul Hastrekha

Bhartiya samaaj aur hindu dharam mein trishul ka ek vishesh isthan hai aur ye hindu logo ki astha se juda hua hai.  Trishul ka naam ya tasweer saamne aate hi hum sab ke dimaag mein apne aap bhagwan shivji ki murti aa jaati hai kyuki trishul bhagwan shivji ka shastra mana jata hai.


Trishul ko English mein Trident kahate hai yani ki aisa bhala jiske teen muh hote hai.

Hastrekha aur Samudhrik Shastra mein trishul atyant shubhdayak aur shubh chinha mana gaya hai. 

Log aksar puchte hai ki baye hatheli me trisul ka banana subha hai ya daye hatheli me trishul banana shubh hota hai ? jyadatar trishul right hand mein yani dominant hand mein ho to adhik shubh aur labhdayak hota hai lekin phir bhi agar left hand mein trishul hai to wo bhi shubh hi mana jata hai.


Surya Parvat Par Trishul Ya Surya Rekha Par Trishul Ka Mahatav

Surya rekha ya surya parvat par trishul hone par vkty vilasitapurna jeevan vytit karta hai.  Aise vykti ko samaaj mein maan-samaan prapt hota hai aur aise vykti ke paas humesha paisa rahta hai.  Artharth aise vykti ka aay ka jariya kabhi samapt nahi hota hai jaise hi ek jariya kisi karanwas band ho jata hai to bhagwan doosara  khol dete hai.

Ab yaha par ye baat dhyan rakhne waali hai ki trishul ulta hai ya seedha hai yaani trisul ka mukh ungliyo ki taraf hai ya hatheli ki taraf hai.  Yadi trishul ka mukh upar ki taraf hai to vykti bhagyashali hai aur yadi trishul ulta hai to vykti ko trishul ka labh prapt nahi hota hai balki usko jeevan aur rojgaar mein adchano ka saamna karna padta hai.

Trishul ki jo shakha hai wo ek jagah se shuru honi chahiye (jyadatar ek jagah se hi shuru hoti hai) wo hi trishul laabhkari hota hai.

Yadi surya rekha par trishul hai parntu surya rekha khandit hai ya doshyukt hai to vykti ko trishul ka labh kam milta hai matlab trishul ke labh mein kami aa jaati hai.


Shani Parvat Par Trishul Ya Bhagya Rekha Par Trishul Ka Mahatav

Bhagya rekha ya shani parvat par trishul hone par vykti bada vyapaari ya bada adhikari hota hai (saath mein acchi surya rekha bhi ho) aur aisa vykti daanweer aur propkari hota hai.  Apne dharm aur samaaj aur jankalaayan ke liye karya karne wala vykti hota hai.

Chandra parvat se nikalane wali bhagya rekha par yadi trishul hai to vykti videsh jata hai aur aise vykti ko videsh mein labh milta hai.

Bhagya rekha par baney trishool ki ek shakha yadi guru parvat par chali jaay to vykti ko addhyan aur prashasnik kshetra mein labh milta hai aur yadi ek shakha surya parvat par chali jaay to vykti ko kala (art) aur sangeet ke kshetra mein safalata milti hai.


Hridhya Rekha Par Trishul Ka Mahatav

Hridhya rekha par bana trishul vykti ko bhavuk bana deta hai.  Aise vykti ko dhokhe adhik milte hai.  Aise vykti ko apne kiye hue kaam ki tarif sunane ko kabhi nahi milti hai.  Loge aise vykti se apna kaam nikaal kar alag kar dete hai jaise "doodh mein se makhi ko nikal dete hai".

Aise vykti ko parivarik kathinaiyo ka bhi saamna karna padta hai.  Mata-pita bhai-bahan se bhi sukh nahi milta hai.  Bhai aur bahan jameen jaaydad hadap lete hai.  Aise vykti ke sath ristedaar aur parivar wale vishwasghaat karte hai.

Aise vykti ko apni padaish ke alawa bahar accha maan samaan milta hai lekin jaha uska janam hua hai waha usko sangarsh karna padta hai.


Guru Parvat Par Trishul Ka Mahatav

Guru parvat par trishul vykti ko prashasnik kshetra mein apratyashit safalta dilata hai.  Yaha ye baat dhyan rakehin ki trishul ko kisi avrodh ya aadi rekha ne kata nahi ho varna trishul ke prabhav mein kami aa jaati hai.

Yadi trisul ke barein mein aur adhik jaankari chahate ho to neeche diye hue link ko click karein:


त्रिशूल और भारतीय हस्तरेखा शास्त्र

Nitin Kumar Palmist