Hath Mein Bhagwan Vishnu ji Aur Shiv ji Ka Nishan Hona | Hastrekha Shastra
Hast Rekha Shastra mein kuch aise chinho ki bhi jaankari di gayi hai jo bhagwan aur devi devta ka sanket dete hai.
Halaki kuch Indian Palmists isko mante hai aur kuch inko nahi mante hai kyuki practical life mein inka itana mahatva dekhne ko nahi milta hai.
Agar aapki Heart Line ke end par "V" letter bana hua hai yani aapki Heart Line forked hai to aisa mana jata hai ki ye "Vishnu Chinha" hai aur aise vykti ke upar Vishnu ji ki kripa bani rahti hai aur vykti dharmik aur dhanwan hota hai.
Aisa vykti Vishnu ji ka upasak hota hai ya phir usko Vishnu ji upasana karne par labh hota hai.
Agar hatheli mein kahi par bhi saaf trishul bana hua hota hai to aisa mana jata hai ki aise vykti ke upar Bholenath yani Shiv ji ki kripa humesha bani rahti hai aur aisa vykti Shiv ji ka upasak hota hai.
Hath mein aur bhi shubh nishan hote hai jaise macchli, shankh, seedhi, tree, mandir, aur swastika. Indian palmists ke anusaar ye sab hindu signs kisi na kisi devi-devta ka sanket mane jate hai kyuki aap sab ko malum hai hindu dharam mein sabhi devi-devta ko apne pakshi, janwar (unki sawari) aur hathiyar ke sath dikhaya jata hai.
5 Prabhavshali Signs On Hand In Hindi