Shadi Ki Date Aur Age Nikalne Ka Astrology Palmistry Method


Shadi Ki Date Aur Age Nikalne Ka Astrology Palmistry Method



Shadi Kab Hogi ?


Astrology se kundli mein dasha aur mahadasha dekh kar aur graho ki chaal dekh kar pata lagaya jata hai ki vykti ki shadi kab kis saal, kitani umar, aur kis date tak ho sakti hai.

Palmistry se date nikalna to shambhav nahi hai lekin aadmi ki kis age mein shadi hogi iska anuman lagaya ja sakta hai.



Shadi Ki Date Aur Age Nikalne Ka Astrology Palmistry Method
Figure - A

Shadi ki umar bahut had tak desh ke aur samaaj ke culture par depend karti hai jaise India mein shadi jaldi kara di jati hai jab ki videsh mein shadi aksar late hi hoti hai kyuki waha ka culture India se alag hai.

1) Agar vivah rekha chotti ungli ke najdeek ho to vykti ki shadi late hoti hai (40-45). Figure A-1

2) Agar shadi ki rekha heart line ke najdeek ho to vykti ki shadi jaldi hoti hai (12-20). Figure A-3

3) Agar marriage line heart line aur little finger ke bilkul beech mein hai to vykti ki shadi yuva awastha mein hoti hai (24-28). Figure A-2