Ulta Hanth Aur Seedha Hath (Right & Left Hand) Hast Rekha Shastra
Bahut log hum se ye swaal karte hai ki hastrekha mein ulta hath dekhna chahiye ya seedha hath dekhna chahiye aur ulte hath ka kya matlab hota hai aur seedhe hath ka kya matlab hota hai?
Iska jawaab bahut saral hai ki ek hastrekha shastri ko dono hatho ka adyyan karna chahiye aur phir hi faladesh karna chahiye.
Lekin pracheen hastrekha shastriyo ka tark hai ki ulta hath vykti ki peechli jindgi (past life) ko batata hai aur seedha hath vykti ke is janm ko batata hai jo wo jee raha hai. Matlab left hand se vykti ke peechle janam ke karmo ka pata lagta hai aur right hand se vykti ke future ka pata lagta hai jo is janam mein wo bhogega.
Agar left hand bahut khrabh hai to ye mana jata hai ki vykti ne past janam mein bahut burein karma kiye the aur us wajah se is janam mein wo dukh bhog raha hai aur agar left hand accha hai to vykti ko is janam mein safalta aur sukh milta hai.
Kuch palmists ka manna hai ki left hand bachpan mein kaam karta hai aur jab vykti kamana shuru kar deta hai to right hand dekha jata hai.
Kuch palmists ka manana hai ki aurato ka left hand dekha jata hai aur jo log kamate nahi hai aur manbudhi ya dusaro par nirbhar hote hai unka bhi left hand hi dekha jata hai. lekin aurat agar kamati hai to uska right hand dekha jata hai.
Aakhir mein ye hi kahna chahunga ki left aur right dono hi hatho ko dekh kar faladesh karna chahiye.
Lal kitab upay in hindi, Life line branches at end, Line from lifeline to mount of moon, Manik stone benefits in hindi, Marriage line in palmistry in hindi, Mole on right hand, Mole on right hand middle finger
Palmistry for career, Palmistry in urdu love line, Palmistry trident on fate line, Rajyog in hand, Sign of love marriage, Study line in hand