Apne Aap Ko Sapne Mein Marte Hue Dekhna | Swapna Shastra


Apne Aap Ko Sapne Mein Marte Hue Dekhna | Swapna Shastra

Apne Aap Ko Sapne Mein Marte Hue Dekhna

Aksar log apne aap ko sapne mein marta hua ya apni dead body dekhte hai aur phir unko dar lagne lag jaata hai ki unke sath aisa kuch hone wala hai ya kuch na kuch ashubh unki jindgi mein hone wala hai aur wo is baat ko le kar chintit rahte hai aur jyotishiyo ke chakkar lagate rahte hai.

Aapko chinta karne ki jarurat nahi hai is post mein aapko apne appko marte hue ka sapne ka matlab aur uska kya upay aapko karna hai wo bataya jaa raha hai.
Agar aap apne aap ko sapne mein marte hue dekhte ho to iska matlab hai aap par achanak koi musibat aane wali hai lekin ye is baat par depend karta hai ki ye sapna aapko kab aaya hai agar aapko ye sapna subah ke samay aaya hai to iska matlab hai ki aapko koi nuksan hone wala hai ya dushman aapko nuksan pahuchayega lekin agar ye sapna aapko raat ko aata hai to iska koi matlab nahi hai.

Ek baat dhyan rakhe ki humko in sapno ka sanket tabhi manna chahiye jab ye sapne humko baar baar aay matlab ek hi tarah ka sapna baar baar subah ko aay tab hi hum ko maanna chahiye ki humko ye sapna aane wali musibat ka sanket de raha hai.

Bahut baar insan bahut badi musibat mein fasa hota hai aur khud ko khatham karna yani suicide karna chahata hai to us wajah se bhi usko aise sapne aate hai tab is tarah ke sapno ka koi matlab nahi mana jana chahiye kyuki wo insan har wakt aatmhatya ya marne ki hi soch raha hai to usko is tarah ke sapne aa sakte hai.

Us hi sapne ka fal mana jata hai ya dekha jata hai jo achanak se aa jata hai aur jabki vykti us tarah ka ya us barein mein kabhi sochta hi nahi hai.  Jaise vykti ki jindgi bahut acchi chal rahi hai aur wo death ke bare mein kabhi nahi sochta lekin usko achanka subah aisa sapna aata hai jis mein wo apne aapko mara hua dekhta hai.

Bahut baar insan apne ristedar ya parijan ko mara hua dekhta hai is tarah ke sapne ka matlab hai vykti ko kahi bahar jana pad sakta hai ya kareebi ristedar se sambandh toot sakte hai.

Sapne mein bahut baar lash dikhai deti hai, kabristan dikhai deta hai, shamshan ya jalti hui chita dikhai deti hai in sabka vykti ke jeevan par bura prabhav hi padta hai aur agar is tarah ke sapne vykti ko aate hai to us ko chahiye ki wo apne purvajo ki shanti ke liye daan kare.

Bahut baar vykti apni hatya hote hue dekhta hai ya phir vykti khud na chahate hue kisi anjan vykti ki hatya kar deta hai ya apne dost ya milne wale ki hatya kar deta hai to iska matlab ye hai ki business mein khud ki galti ke karan insan ko nuskan ho sakta hai ya us vykti ko share market, jue, satta mein loss ho jaay.

Agar vykti sapne mein apne aapko hospital mein dekhta hai aur uska ilaaj ho raha hota hai to iska matlab hai vykti is samay karze mein dubba hai aur us par aur karza bad sakta hai.

Agar is tarah ka sapna ek ya do baar hi aata hai to chinta ki baat nahi hai par aisa sapna agar baar baar aata hai to ye chinta ki baat hai aur aapko iske liye remedy karni chahiye.

Humne ye to jaan liya ki sapne mein apne ko marte hue dekhna bura sapna hota hai lekin iska ilaaj ya upay kya hai? Ab hum aapko iska upay bata rahe hai aisa karne se aap apne upar aane wali musibat ko taal sakte hai aur aapko aise bure sapne aana band ho jaayenge.

Aapko kuch nahi karna hai aapko sirf chidiya aur kabutar ko paani aur dana dalana hai rojana.  Aapko apni ghar ki chatt par kundi bhar ke rakhni hai aur us mein jal bharna hai taki chidiya us mein se pani pi sake.

Aapko gaay ko hara chara daily daalna hai aisa karne se bhi aapko bahut labh hoga aur agar ho sake to thoda sa gud bhi gaay ko khilaay.

Aap apne kul devi ya devta ki niyampurvak puja jaroor kare aur unke devi isthan par jaroor jaay.

Uprokt sadharan upay karne matra se hi aapko is tarah ke darwane sapne aane band ho jaayenge aur aane wali musibat tal jaaygi.

related post



Sapne Mein Khud Ko Garbhvati Dekhna

Agar aap apne aapko apne sapne mein garbhvati pati ho to uska matlab kya hota hai jaaniye.