Hath Ki Rekha Par Kala Til Hona | Hast Rekha Gyan
Aapke khud ke hath par kala ya bhura til hoga ya phir aapne kabhi na kabhi kisi dusare vykti ya apne dost ya rishtedaar ke hath mein jarur black rang ka til dekha hoga aur aapke man mein jarur ye swaal aata hoga ki iska kya matlab hota hai.
Is post mein hum sirf hath ki rekha pe jo black mole dikhai deta hai uski baat karenge bajaay mounts aur finger par jo black mole hota hai uski baat yaha nahi karenge.
Agar aapko hath ke sabhi jagah par kala til ka kya matlab hota hai to aap is post ko padh sakte hai - Hath Mein Kala Til Hone Ka Matlab Kya Hota Hai?
Hath Ki Rekha Par Black Til Hona
2) Mastak rekha par til ka hona - Mastak rekha par til hone par vykti ko mastak sambandhi bimari ya chot lagane ki sambhavna rahti hai.
3) Hridya rekha par til ka hona - Hridya rekha par til hone par vykti ko hridya sambandhit rog hone aur apne se dokha milne ki sambhavna rahti hai.
4) Surya rekha par til ka hona - Surya rekha par til hone par vykti ko badnami mil sakti hai.
5) Mangal rekha par til ka hona - Mangal rekha par til hone par vykti ko sir mein dard rahta hai aur sir mein chot lag sakti hai.
6) Bhagya rekha par til ka hona - Bhagya rekha par til hone par vykti ko paiso sambandhit pareshani uthani padti hai.
7) Vivah rekha par til ka hona - Shadi ki rekha par til hone par pati ya patni bimar rahti hai.
8) Swasthaya rekha par til ka hona - Swasthaya rekha par til hone par vykti ke sath cheating ho sakti hai ya phir usko asadhya bimari ho sakti hai.
9) Yatra rekha par til ka hona - Yatra rekha hone par til hone par yatra ke dauran accident hone ki sambavna rahti hai.
10) Manibandh rekha par til ka hona - Maniband par til hone par vykti ka swasthaya kamzor rahata hai.