Hast Rekha Mein Bhagyashali Hone Ke Paanch Chinha | Hastrekha Vigyan

Hath Mein Bhagyashali Hone Ke Paanch Chinha | Hastrekha Vigyan


Hast Rekha Mein Bhagyashali Hone Ke Paanch Chinha | Hastrekha Vigyan


5 Hindu Bhagyashali Chinha Hast Rekha Gyan

1) Kamal Chinha (Lotus Sign)
2) Macchali Chinha (Fish Sign) 
3) Jhanda Chinha (Flag Sign)
4) Mandir Chinha (Temple Sign)
5) Swastika Chinha 

Hath Mein Paay Jane Wale Bhagyashali Chinho Ki Pahchan Karna

1) Kamal Chinha (Lotus Sign)
Vedic Hast Rekha Shastra mein bataya gaya hai ki jab bhi Guru parvat ke pass hridya rekha par trikon (triangle) banta ho to aise mein isko Kamal Chinha mana jata hai.

Aisa vykti ucch-koti ka vidhwan, mahapandit, dharam aur shastro ka jaankar, ucch-pad par aasin vykti aur samaj mein bahut sammanit vykti hota hai.


2) Macchali Chinha (Fish Sign)


Hastrekha Gyan mein macchli ko bahut shubh mana gaya hai. Jis bhi vykti ke jeevan rekha ke ant mein macchli bani hoti hai wo desh videsh mein bhraman karne wala, vidwan, ameer, samajsevak hota hai lekin aisa vykti paani se darta hai aur usko humesha sardi-jukam bana rahta hai.

3) Jhanda Chinha (Flag Sign)
Hastrekha Shastra mein flag ka nishan bahut shubh mana gaya hai.  Flag sign jyadatar vikhyat lekhek, samajsevak ke hatho mein paya jata hai.  Desh videsh mein vykti ka naam hota hai.  Guru parvat par khadi rekha ho aur us par square bana hua ho to flag chinha mana jata hai.

4) Mandir Chinha (Temple Sign)

Hastrekha Shastra mein mandir chinha yani temple sign bahut shubh mana gaya hai.  Guru parvat par square ke upar triangle hone par temple sign banta hai. Temple sign jyadatar sadhu sanyasi, samaj sevak, neta ke hatho mein paya jata hai.

Jis vykti ke hath mein temple sign hota hai us vykti ko ucch pad prapt hota hai aur sansar ke sabhi sukh usko prapt hote hai.

5) Swastika Chinha
Hastrekha Shastra mein swastika sign ek hindu chinha hai.  Swastika sign jyadatar guru parvat aur shukra parvat par hi paya jata hai.  Ye jis bhi vykti ke hath mein hota hai usko jameen se dhanlabh hota hai, aisa vykti dharmik karyo ke liye apni sampati daan karta hai. 

Read this same article in English - 5 Lucky Signs On Hand