Rahu Parvat Hath Mein Kaha Hota Hai ?
Hateli mein rahu parvat ubhara hua hone pr vykti bhagyawan hota hai aur yadi hatheli mein gadda ho to vykti bhagyaheen hota hai usko mahnet karne pr bhi safalta nahi milti hai.
Rahu bhagya bana bhi sakta hai aur bhagya ko bigaad bhi sakta hai. Isi karan rahu parvat pr jydatar logo ki bhagya rekha tooti ya kati hui hoti hai. Yadi hatheli mein gadda hai aur bhagya rekha bhi doshyukt hai to vykti apni sampathi galat niranyo ke karan gawa deta hai.
Hath mein adhik rahu rekha hone par aur rahu khrabh hone par vykti ko kam se kam 5 ratt ka gomed chandi mein banwa kar madhyama ungli mein dharan karna chahiye.
Rahu se peedit vykti ko lawarish lasho ke daah sanskar mein hissa lena chahiye aur unki madad karni chahiye kyuki aisa karne par rahu se peedit vykti ko shanti milti hai aur uska durbhagya shobhagya mein badalne lagta hai.
Rahu se peedit vykti ko kaam imandari se karna chahiye aur kisi ko dokha nahi dena chahiye warna usko baad mein khud bhugatana padta hai.
Rahu se peedit vykti par buri najar aur jadu tona ka bhi prabhav jyada rahta hai uske liye us vykti ko peepal ke ped par shaniwar ko jal jaroor chadana chahiye.