Hatho Ki Lakiro Ka Matlab Kya Hota Hai | Hastrekha
Humare hatho mein lakire kyu hoti hai? Unka matlab kya hota hai? Har insan ke hath mein rekha alag kyu hoti hai? Kisi insan ke hath mein bahut adhik rekha hoti hai aur kisi insan ke hath mein bilkul kam rekha hoti kyu hoti hai?
Jyotish shastra mein hath ki rekha ko padne ki paddatti ko hastrekha gyan bolte hai. Hath mein har rekha ka apna mahatav hota hai. Hath ki lakiro ko padkar insan apna bhagya jaan sakta hai.
Hath mein mukhya rekha hoti hai aur gaun rekha hoti hai aur parvat hote hai jinka addhyan karke hastrekha shastri hone wali ghatnao ka anuman lagata hai.
Hatho mein lakire moti, lambi aur chotti kaise bhi ho sakti hai aur sabka apna apna matlab hota hai.
Hath mein humko mukhyataya teen rekha dekhne ko milti hai jinko jeevan rekha, mastak rekha aur hridya rekha bola jata hai aur phir humko surya rekha aur bhagya rekha bhi dekhne ko milti hai. Surya rekha aur bhagya rekha sabhi insan ke hath mein ho aisa koi jaroori nahi hai.
Hastrekha mein chinho ka bhi mahatv hai - 32 Hast Chinha Hast rekha