Konse Grah Ki Ungli Konsi Hoti Hai | Hastrekha
Aap hastrekha seekh rahe hai aur aapke man mein ye swaal aata hai ki jis tarah kundli mein 12 ghar hote hai aur unme grah baithe hote hai waise hi hastrekha mein wo grah hath mein kaha par isthith hote hai.
Hastrekha mein graho ko parvat kaha jata hai. Sabhi parvato ka apna staan (jagah) tay (fix) hoti hai.
1) Tarjani Ungli (Index finger) ke neeche Guru parvat (Jupiter) ka isthan hota hai.
2) Madhyama Ungli (Middle finger) ke neeche Shani parvat (Saturn) ka isthan hota hai.
3) Anamika Ungli (Ring finger) ke neeche Surya parvat (Sun) ka isthan hota hai.
4) Kaniska Ungli (Little finger) ke neeche Budh parvat (Mercury) ka isthan hota hai.
5) Anghuta (Thumb) ke neeche Shukra parvat (Venus) aur Mangal parvat (Mars) ka isthan hota hai. Mangal parvat hath mein 3 jagah par hota hai.
Chandra parvat, Rahu parvat aur Ketu parvat hatheli mein neeche aur madhya mein isthit hote hai (upar diye gaye chitra mein dekh sakte hai).
Read Also - Learn Basic Of Indian Palmistry