Hath Mein Trishul (Trident) Bana Hone Ke Labh Aur Nuksan | Hast Rekha
1) Trishul accha hota hai ya bura hota hai
2) Trishul bhagya rekha par hona
3) Trishul hridhya rekha par hona
4) Trishul surya rekha par hona
5) Trishul mastak rekha par hona
6) Trishul kisi bhi parvat par hona
Vedic palmistry (samudra shastra) mein trishul ko accha mana gaya hai. Indian palmistry mein trishul ko shubh chinha bataya gaya hai.
Trishul jis bhi rekha ya parvat par ho waha dusara asubh chinha nahi hona chahiye aur wah rekha doshyukt nahi honi chahiye.
Trishul yadi bhagya rekha (fate line) par banta hai to vykti sukhi aur smridhshali hota hai. Aisa vykti nirdhan parivar mein bhi janam le kar apne balbute sabkuch hasil kar leta hai.
Trishul yadi hridya rekha par bana ho to vykti ke jeevan mein sansarik sukh ki kami hi rahti hai matlab uske pass sabkuch hota hai phir bhi uske jeevan mein apnapan nahi hota hai. Aise vykti ke ghar mein paitrik sampati ko le kar vivaad rahta hai.
Trishul yadi surya rekha par ho aur surya rekha doshmukt ho to aise vykti ko kabh bhi dhan ki kami nahi hoti hai matlab agar ek darwaza band hota hai to dusara darwaza khul jata hai.
Trishul yadi mastak rekha par bana ho to aisa vykti pareshan rahta hai us mein vyakulta adhik hoti hai. Aisa vykti ek samay par ek se adhik karyo mein hath daalta hai jis ke karan usko asafalta ka muh dekhna padta hai kyuki wah bahumukhi hota hai.
Trishul jis bhi parvat par bana ho us parvat ka labh bada deta hai jaise surya parvat par hone par yash aur kirti mein badava kar deta hai.
Yadi aap trishul par aur adhik jaankari chahate hai to is post ko padein - Trishul Shobhagyashali Chinha