Aaj har insan ameer (millionaire ya billionaire) banana chahata hai aur jyotishi se sabse pehla swaal ye hi hota hai ki mein arabpati banunga ya nahi?
Sabse jyada poocha jaane wala swaal ye hi hota hai ki "mere hath mein kitana paisa hai? mein kab ameer banunga? mere pass gaadi, bangla aur kitna bank balance hoga? kya mein apne maa-baap ki sabhi ikccha puri kar paoonga?" is tarah ke swaal aajkal ki yuva peedi aamtor par jyotishi se karti hai aur jyotishi bhi unko sapne dikha dete hai aur sach nahi batate hai
Hum is post mein ye batane ki kosheesh karenge ki aap kaise pata kar sakte hai ki aapke jeevan mein aapke pass kitana paisa hoga aur aap kab paisewale banogey?
Sabse pehly aapko is baat ko samajhna hoga ki acche aur bure yog sabhi insan ke hath mein hote hai aur samay samay par bante aur mitate rahte hai (kuch yog humesha rahte hai aur kuch yog kuch samay ke liye bante hai aur phir apna kaam kar ke mit jaate hai) jaise aapko trishul, macchli, yav, yavmala, swastika, mandir aadi ka chinha ek gareeb insan ke hath mein bhi milega aur ek ameer insan ke hath mein bhi milega isliye aapko is baat ko samajhna hoga ki gareeb insan ke hath mein agar acche shubh yog hai to wah gareebi mein bhi ameer ki tarah ka jeevan vytit karega aur ameer insan ke hath mein agar ashubh chinha hai to wo diwaliya ho jaayga ya ameeri ka maja nahi le paayga.
Aapko is baat ko bhi samajhna hoga ki millionaire aur billionaire banane ki koi vishesh roop se rekha ya yog nahi hota hai balki aapko millionaire aur billionaire ke jo yog hastrekha ki books mein diye gaye hai wo un logo ke hatho mein nahi milenge jo hakikat mein millionaire ya billionaire hai.
Hakikat mein acche aur bure yog aur surya rekha aur bhagya rekha apna kaam karti hai aur samay-samay par vykti ko labh aur hani deti hai. Kisi bhi vykti ka samay ek jaisa nahi rahta hai chahe wo kitana bhi ameer ho ya chahe wo kitana bhi gareeb ho har vykti ka samay badalta rahta hai.
Aapko un yog ko bhi dekhna hoga jo kisi vykti ka jeevan chamka dete hai aur kuch yog aise hote hai jo vykti ko diwaliya bana dete hai. Ab ameer hai tabhi diwaliya banega aur gareeb hai ya middle class ka hai tabhi ameer banega.
Phir aapko vykti ka vevahik jeevan, swasthaya, aur parivarik drishtikon bhi dekhna hoga kyuki wo bhi bahut mahatvpurna us par bhi bahut kuch nirbhar karta hai.
1) Agar vykti ke hath mein acchi surya rekha hai to agar vykti middle class mein hai to jaroor upper middle class mein pahuch jaayga lekin shuru mein mahnet karni hogi aur agar bhagya rekha bhi acchi hai to us vykti ko jeevan mein jaldi safalata milegi matlab surya rekha aur bhagya rekha dono acchi ho. Aapko aise hath doctors, bank manager, high post rank wale officers ke dekhne ko milenge jo apne jeevan mein jaldi tarakki aur middle class family se hone ke bawjood bhi ucchai tak pahuch jaate hai.
2) Bahut palmists budh rekha ko money line kahate hai aur bahut se palmists surya rekha ko money line bolte hai aur bahut sare palmists bhagya rekha ko money line bolte hai jabki aisa mana jata hai ki jis hath mein budh rekha na ho wo hath vanaspath us hath ke accha mana jata hai jis hath mein budh rekha hoti hai aur aisa nahi ki wo insan ameer nahi ban sakta hai jiske hath mein surya rekha aur bhagya rekha nahi ho bus hum ye kah sakte hai ki us insan ko thoda sangarsh karna padega vanaspath us insan ke jiske hath mein acchi surya rekha aur acchi bhagya rekha maujood ho.
3) Hath mein agar mastak rekha ya jeevan rekha par triangle ban raha ho to us ko bhi money triangle kaha jata hai aur agar bhagya rekha se mastak rekha par triangle ban raha ho to usko bhi subh mana jata hai aur aisa anuman lagaya jata hai ki is insan ke pass bahut paisa aayga jabki aisa practical mein humesha sach nahi hota hai. Money triangle aapko lagbhag sabhi insan ke hath mein dekhne ko mil jaayga jinke hath mein rekhao ka jaal hoga lekin wo karze mein dubbey hue hote hai. Iske liye humko bhagya rekha aur surya rekha ko bhi padna jaroori aur parvato ka addhyann karna bhi jaroori hai sirf money triangle dekh kar ye kah dena uchit nahi hoga ki vykti dhani hoga.
4) Rahu rekha adhik aur majboot hone ke karan insan ko bahut sangarsh karna padta hai aur wo jeevan bhar musibato mein hi pada rahta hai.
5) Hum ye kah sakte hai ki hatheli mein kuch acche yog aur kuch bure yog hote hai jo insan ko ameer bana dete hai aur ya phir insan ko barbad kar dete hai.
Isliye hum ye kah sakte hai jis insan ke hath mein kam rekha hogi aur surya rekha aur bhagya rekha balwan hogi aur rahu rekha nahi hogi wo insan nischit hi apne jeevan mein tarakki karega aur samaaj mein accha isthan parapt karega lekin hum ye nahi kah sakte hai ki arabpati ya kharabpati ban jaayga.