Hath Mein Bhagyashali Trishul Hona | Indian Palmistry

 

Hath Mein Bhagyashali Trishul Hona | Indian Palmistry

Hath Mein Bhagyashali Trishul Hona | Indian Palmistry

Aap sabhi ko pata hai ki trishul Hindu dharma mein bhagwan Shiv ji ka shastra mana jata hai aur aapko mandiro mein dekhne ko jarur milta hoga kyuki isko shubh prateek bhi mana jata hai.

Aisa mana jata hai ki trishul ki teeno nok humare past, present aur future ko dharshati hai. Bhagwan Shiv ji ke sath sath mata Durga ke hath mein bhi trishul hota hai aur aisa mana jata hai jab dharti par paap aur atyaachaar bad jata hai tab bhagwan Shiv aur Durga mata apne trishul se rakhsho ka sanhaar karte the.

Hath mein trishul hona shub mana gaya hai lekin trishul upar ki taraf hona chahiye bajaay neeche ki taraf hone ke kyuki upar bana hua hi trishul hi labhdhayak hota hai jabki ulta trishul vykti ko asafalta dilata hai.

Trishul surya rekha aur bhagya rekha par sabse adhik shubh mana gaya hai.  Jis vykti ke hath mein trishul bana hua hai usko kabhi bhi dhan ki samasya nahi rahti hai aur smaaaj mein accha naam aur rutba hota hai.  Lekin jis vykti ke hath mein trishul hota hai usko ye sab madhyam umar mein hi dekhne ko milta hai.