Hath Mein Teen Se Char Vivah Rekha Hona

Hath Mein Teen Se Char Vivah Rekha Hona

Agar hath mein ek se jyada ya phir teen se char vivah rekha hai to iska matlab ye nahi hai ki teen-chaar baar vivah hoga ya phir teen-char aurato ya aadmiyo se sambandh banega.  Bahut baar ek hath mein ek se jyada hoti hai lekin dusare hath mein ek hi marrige line hoti hai ya phir kabhi kbhi dono hatho mein teen-teen vivah rekha hoti hai isliye log ye sochte hai ki unke itane sambandh rahenge lekin jab umar dhal jaati hai aur aisa kuch nahi hota hai to wo sochte hai ki ye sab jhoot hai jabki hastrekha mein aisa kahi nahi kaha gaya hai ki teen-char vivah rekha hone par vykti ke teen char vivah honge ya itane sambandh rahenge.

Jab bhi teen char vivah rekha hoti hai to aisa vykti bahut soch samajh kar shadi karta hai ya phir aise vykti ki apkesha bahut jyada hoti hai ki usko bahut accha jeevan shati milna chahiye warna wo shadi nahi karega matlab 'choosey' hota hai.

Bahut baar aise logo ke nahi chahate hue bhi ek se jyada sambandh ban jaate hai aur agar vivah rekha ke bilkul sameep chipki hui hi dusari vivah rekha hai to aise mein jydatar bharat mein aise logo ke rishtedaari mein hi sambandh ban jaate hai.

Sirf vivah rekha se shadi ka anuman lagana galat hoga kyuki iske liye aapko bhagya rekha, mangal rekha aur surya rekha se bhi anuman lagana chahiye.  Jaise agar bhagya rekha doshyukt hai to aise vykti ka divorce hone ke chances humesha bane rahte hai aur yadi mangal rekha bhi do se teen hai to aise vykti ke sambandh ghar ke bahar ban jaate hai.

Aajkal bahut se log apni patni ke alawa bhi sambandh bana kar rakhte jyadatar log kunwari ladki ko fansa lete hai aur unko jhoot bol kar sambandh bana kar rakhte hai.  Aise ladkiyo ke hatho mein aisa yog hota hai jyadatar unki bhagya rekha par mastak rekha ke neeche fork bana hua hota hai ya heart line surya rekha ko corss kar rahi hoti hai ya heart line se neeche aa kar rekha bhagya rekha ko kaat rahi hoti hai jiske karan unko badnami ya aatmaghaat hota hai.

Is tarah se hath mein bahut saare yog bante hai sirf vivah rekha ke 2 se 4 hone par hum ye nahi kah sakte hai ki vykti ke chaar vivah honge.

Padhein - Vivah Rekha Ki Sampurna Jaankari