Money Rekha In Hand In Hindi | Hast Rekha For Money Line In Hindi

Money Rekha In Hand In Hindi | Hast Rekha For Money Line In Hindi

Money Line | Paiso Ki Rekha

Aaj ke samay mein agar paisa hai to sab hai aur paise walo ko hi ijjat milti hai isliye aajkal har insan ye hi janana chahata hai ki uske pass kitana paisa hoga yani uska bank balance kitana hoga? 

Hast rekha se ye nahi bata sakte hai ki vykti ka kitana bank balance hoga lekin ye jarur bata skate hai ki vykti ka smaaj mein status kya rahega aur kya wo apni sabhi jarurate puri kar paayga ya nahi? kya uske pass khud ka ghar aur vahan rahega ya wo karje mein duba rahega?

Hath mein waise to dhan ki koi rekha nahi hoti hai lekin bhagya rekha aur surya rekha ko hi safalta aur paiso aur vyapaar aur naukari ki rekha ke taur par dekha jata hai.

Ye maan kar chaliye ki agar vykti ke hath mein acchi surya rekha aur acchi bhagya rekha hai to vykti gareeb ghar mein janam le kar bhi apani jindgi mein accha mukaam hasil kar lega aur apne business mein ya apne karyakhetra/naukri mein acchi safalta aur ucch pad jarur prapt karega.

Parantu yadi hath mein bahut adhik rekhao ka jaal hai aur sabhi rekha ek dusare ko kaat rahi hai to aise vykti ko pag-pag par samasya aati hai aur karza bhi bana rahta hai.  Aise vykti ko ghar ke logo ka to kya bahar ke logo ka bhi support nahi milta hai.

Agar hath mein majboot rahu rekha hai to vytki ka jeevan bimari aur karza chukane mein hi beet jata hai kyuki aise vykti ke pass dhan aata to hai lekin wo tikta nahi hai kisi na kisi roop mein chala jata hai aur aisa vykti lalach mein paisa dubo bhi deta hai.

Business ki rekha agar hath mein mojood hai to vykti ko business mein safalta milti hai aur aisa vykti bachpan se hi business karne ki sochta hai ya phir uska janam hi business karne wali family hota hai lekin yaha par ye dhyan dena hoga ki vyapaar rekha doshmukt honi chahiye yadi wo doshyukt hui to vykti ko labh ki jagah haani hi hogi.

Naukri Kare Ya Business Kare ? Kya Karna Sahi Rahega? Hast Rekha Gyan

Aaj har insan ke dil mein ye hi swaal aata hai ki usko naukari karni chahiye ya business karna chahiye kyuki aaj ke samay mein dono mein hi bahut jyada competition bad gaya hai aur safalta milna bahut mushkil ho gaya hai.  Isliye har insan ke man mein sandeh rahta hai ki kahi wo apna samay to khrabh nahi kar raha hai ya phir business mein usko nuksan to nahi uthana pad jaayga?

Sabse pehle aapko practical hona padega kyuki business baato se nahi hota hai aur aisa bhi nahi hai ki kisi jyotishi ne aapko bol diya aur aap ne business shuru kar diya aur ab aapko us mein safalta mil jaaygi jabki aapke pass us business ka koi experience nahi hai aur na hi aapko koi support hai aur na hi aapke pass us business ko chalane ke liye lagat (paisa) hai yani aap sirf jyotishi ke kahne par loan (karza) le kar business shuru kar rahe hai aur ye soch rahe hai ki aapko safalta mil jaaygi to aisa karna bilkul galat hai.  Jyadatar aise mein vykti ke upar karza ho jata hai.  Business karne ka sabse pehla niyam ye hi hai ki aapko us business ka experience aur knowledage honi chahiye aur phir aapke pass khud ka paisa bhi hona chahiye aur phir aap usko dheere dheere badate chale jaay taaki aap par karza bhi nahi ho. Jyotishi aapko sirf aapka accha samay aur bura samay bata sakta hai aur kuch cheeze dekh kar bata sakta hai ki business mein jyada safalta milegi ya phir naukari mein jyada safalta milegi ya konsa option aapke liye better rahega. 

Business karte waqt yadi aap partnership kar rahe hai to ye dhyan dijiyega yadi aapke hath mein surya rekha ko rahu rekha kaat rahi hai ya bahut sari rahu rekha hai to aapko partner se dhokha mil sakta hai ya aapke sath cheating ho sakti hai.

Paiso ke liye hath mein acche chinha bhi hote hai - Hatheli Mein Subh Chinha Ka Hona