Daya Or Baya Konsa Hota Hai Kaise Pata Kare Hindi Me
Daya hath ka matlab hota hai right hand aur baya hath ka matlab hota hai left hand.
Aap left handed ho ya right handed ho ye kaise pata karein?
Adhikitar insan right hand yani daya hath se hi kaam karte hai jaise likhna, khana khana, sabji katna, etc aur bahut kam log hote hai jo in kaamo ke liye apna left hand yani baya hath kaam mein lte hai.
Jo log apna left hand kaam mein lete hai unko lefty kaha jata hai.
Aksar aapne dekha hoga cricket mein khiladi right handed or left handed batting karte hai yani jab left handed batsman ka baya hath neeche ki taraf hota hai aur right handed batsman ka daya hath neeche ki taraf hota hai.
Jab bhi humara face east yani purav disha ki taraf hoga tab humara daya hath south yani dakhsin ki taraf hoga aur baya hath north yani uttar ki taraf hoga.
Apni marriage ke bare mein janana chahte hai to yaha padein - Marriage Line On Hand
Apni marriage ke bare mein janana chahte hai to yaha padein - Marriage Line On Hand
Hastrekha mein left aur right hand ki bahut importance hai.
Bhartiya hast rekha shastra mein pehly aise manyta thi ki pursho ka daya hath dekhna chahiye aur mahilao ka baya hath dekhna chahiye aur wo sahi bhi tha kyuki aaj se 100 saal pehly aurate bharat mein kaam nahi karti thi wo sirf ghar hi sambhalti thi lekin ab tasweer badal chuki hai aur jyadatar aurate naukari karne lag gayi hai.
Isliye ab jo kaam-kazi aurate hai unka bhi seedha yani daya hath hi dekha jata hai.