Sapne Mein Apne Ko Nanga Dekhna Ya Nahate Hue Dekhna
Subah Ke Sapne Ka Matlab
Har insan sapne dekhta hai aur jyadatar logo ka vishwas hai ki subah ke sapne sach hote hai. Jo ki sach hai bhartiya jyotish vigyan mein "swapan faladesh" aur "swapan shastra" mein iske barein mein bataya gaya hai ki jab hum kacchi neend mein hote hai us samay ke sapno ka koi arth nahi hota hai lekin jab hum pakki neend mein hote hai tab dekhein gaye sapne ka phal humko subh aur ashubh prapt hota hai. Agar sapna beech madhya ratri ko aaya hai to uska fal humko teen mahino ke andar dekhne ko mil jata hai aur yadi sapna subah-subah aaya hai to uska fal humko ek hafte ke andar hi mil jata hai.
Hum sabko ajeebogareeb sapne aate hai jaise ucchai se gir jana, hawa mein udana, sapne mein sona khona, dusare desh mein chale jana, sapne mein gayab ho jana, sapne mein bahut baar insan apni khwaish puri hote hue dekhta hai, bahut baar sapne mein apne ristedar ki mrityu ya bhai-bahan ya mata-pita ki mrityu dekhta hai, is tarah se insan apne jeevan mein roz kai tarah ke alag alag sapne dekhta hai jo ki uske jeevan mein kahi na kahi se kisi na kisi prakar se judey hue hote hai.
Aisa hi ek ajeebogreeb sapna hai vykti ko khud ko nahate hue dekhna ya nanga dekhna. Yadi vykti ko khud ko nahata hua dekhta hai to aisa mana jata hai ki ye naukari ya business mein profit ka sanket hai.
Yadi vykti apne aapko sapne mein nanga dekhta hai aur ya phir apne aap ko nanga ghoomte hue dekhta hai to bhi vykti ko job ya vyapaar mein labh sanket mana jata hai.
Yadi aurat kisi purush ko sapne mein nanga dekhe ya phir aadmi kisi aurat ko apne sapne mein nanga dekhe to aise vykti par musibat aane ka sanket hai.