Marriage Line Palmistry - Aap is post ko pad rahe hai iska matlab hai ya to aap apni shadi ke bare mein janana chahate hai ya phir aap palmistry seekh rahe hai. Ab ya to aapki shadisuda jindgi mein takleef aa rahi hai ya aapki shadi nahi ho rahi hai matlab aap abhi tak unmarried ho isliye aap ye janana chahate hai ki aapki shadi kab hogi? Ye sach hai ki hast rekha mein shadi ke liye Marriage Line ko dekha jata hai ya pada jata hai lekin sirf marriage line (vivah rekha) ko dekh kar hi shadi ka andaza lagana theek nahi hota hai uske liye humko bhagya rekha ko bhi padna hota hai.
Read Marriage Line Interpretation In English - Marriage Line With Figures (English)
Marriage line ko padte samay ye baat avashya dhyan mein rakhni chahiye ki wo vykti kis desh mein rahta hai, uska dharam kya hai aur wo kis samaj se hai kyuki videsho mein shaadi badi umar mein ki jati hai jabki bharat mein chotti umar mein shadi kar di jati hai.
Videsho mein shadi ke alawa live-in-relationship, long distance relationship, single mother, etc ka chalan jyada hai jabki bharat mein abhi bhi arrange marriage ka chalan hai halaki India mein bhi ab love marriage, inter caste marriage ka chalan bad gaya hai. America aur Europe mein love marriage ka chalan nahi hai. Love marriage ka chalan sirf India aur Asian countries mein hi hai.
Vivah Rekha (Marriage Line) Ka Vivran Hindi Mein Padein - Vivah Rekha (Hindi)
Shadi kyu nahi hoti ya phir divorce kyu ho jata hai ya phir pati ya patni ki jaldi death kyu ho jati hai? In sabhi swaalo ke jawaab pane ke liye aapko marriage line aur bhagya rekha (fate line) ko padna aana chahiye. Yaha par prabhav rekha (influence line) apna bahut bada kirdaar nibhati hai. Jaise prabhav rekha nimn mangal se nikal kar ke vivah rekha ko kaat de to nischit hi vykti ka talaak ya algaav (separation) ho jaayga.
Yadi marriage line surya rekha ke sameep chali jati hai ya us se mil jati hai to jeevanshati ameer hota hai ya sasural ameer milta hai ya shadi ke maan-samaan mein viridhi hoti hai.
Divorce Aur Lovemarriage Ke Sign
1) Divorce ke liye aapko vykti ki marriage line dekhni hogi agar marriage line par fork bana hua hai to vykti ka separation ya talak jaroor hoga. Agar fork bada hai to talak jaroor hoga.
2) Agar bhagya rekha ke sath ko prabhav rekha chandra parvat se nikal kar mil jati hai to vykti ka prem vivah hota hai.
Extramarital Affair Ke Sign
Agar aapke husband ya wife ka affair ghar ke bahar hai to aap unke hath mein check kare ki marriage line ke sath close parallel line bhi hogi ya bhagya rekha dohari hogi ya bhagya rekha ke sath ek maheen si rekha chal rahi hogi. Agar nimn mangal parvat par golakaar rekha jeevan rekha ke andar ek se jyada hai to aise vykti ke sambandh ghar se bahar ban jate hai.
Yadi vivah rekha doshyukt hai to vykti ke vivah mein samasya hoti hai jis wajah se wah ghar ke bahar gair-sambandh bana leta hai.
Agar marriage line chotti ho aur neeche ki taraf jhuk jaay to aise mein bhi vevahik jeevan barbad ho jata hai. Pati aur patni mein kalah rahti hai.
Nitin Kumar Palmist