Palm Reading of Sachin Tendulkar In Hindi
Sachin Tendulkar ke hand images se hum dekhne ki kosheesh karte hai unko itani praseedhi kaise mili aur kyu mili? Hast rekha chitra bahut adhik saaf nahi hai phir bhi aap zoom kar ke dekh sakte hai us se aapko kuch clarity dekhne ko milegi.Sachin Tendulakar Ke Hath mein bahut acchi bhagya rekha (doshmukt) hai jo batati hai vykti ko jeevan mein jaldi safalta milti hai.
Sachin Tendulkar ke hath mein sabse acchi rekha jeevan rekha hai.
Agar aap Sachin Tendulkar ke hath ko dhyan se dekhogey to unki bhagya rekha chandra parvat se shuru ho rahi hai aur shani parvat par ja kar sampat ho rahi hai jiski wajah se wo desh videsh mein vikhyat hue kyuki bhagya rekha ke sath unki surya rekha bhi acchi hai. Halaki surya rekha hast chitro mein spasth najar nahi aa rahi hai.
Hast Rekha Of Sachin Tendulkar
Sachin Tendulkar ke hath mein bahut kam lines hai aur sirf main lines hi najar aati hai aur wo main lines bhi bahut acchi najar aati hai jo ki safal vykti hone mein bahut sahayak hoti hai.
Sachin Tendulkar ke hath mein bhi "M" sign bana hua hai jo ki kuch bharitiya hastrekha shastriyo ki najar mein khoob shoharat aur paisa dilata hai.
Money triangle bhi bana hua hai, bhagya rekha + swasthaya rekha + mastak rekha teeno rekhao ke milne se bana hua hai.
Agar aapke hath mein bhi Sachin Tendulkar jaise lucky signs hai to nischit hi aapko bhi safalta milegi lekin uska matlab ye nahi hai ki aap bhi Sachin Tendulkar ban jaaogey.
Aapke hath mein aapko dekhna hoga acche aur bure sign kon kon se hai. Agar aapke hath mein bure yog nahi hai aur aapki teeno main lines acchi hai aur bhagya rekha aur surya rekha bhi acchi hai aur sath mein shubh chinha hath mein hai to aapko bhi jeevan mein acchi safalta jaroor milegi.