Videsh Yatra Aur Videsh Mein Naukri Ke Yog
Hath mein kuch yog ya rekha hoti hai jo vykti ko videsh le jati hai aur wah vykti videsh mein naukri karta hai.
Koi jaroori nahi ki vykti ameer ghar se ho ya phir bahut pada likha ho agar hath mein videsh jane ke yog hai to vykti gareeb aur anpad ho kar bhi videsh chala jata hai aur videsh mein job karta hai.
Aapne adhikatar dekha hoga tourist guide jo ki middle class family se hote hai aur jyada padein likhe nahi hote hai lekin phir bhi wo kai desh ghoom lete hai. Bahut baar aapne dekha hoga labor yani majdoor ya driver bhi videsh chale jate hai aur waha se accha paisa kama kar apne desh lot aate hai.
Bahut baar lok kalakar bhi videsh jate hai aur accha naam aur paisa bana lete hai.
Ab videsh jana ek baat hai aur videsh ja kar success milna dusari baat hai matlab videsh ja kar waha set ho jana ya accha naam aur paisa kama lene ke liye bhi acche yog hath mein hone chahiye.
Videsh chale jane se sabkuch nahi hota hai balki waha ja kar ke accha naam aur paisa bhi milna chahiye ya aisa kah sakte hai ki acchi job bhi milni chahiye warna turant wapis lot kar aana padta hai.
Videsh Yatra Aur Videsh Mein Naukari Ke Kuch Common Yog
1). Hath mein surya rekha aur bhagya rekha acchi honi chahiye warna videsh chala bhi jaay to koi labh nahi hoga ulta nuksan hi hoga waise to agar acchi surya rekha nahi hai to vykti videsh ja hi nahi paayga.
2). Yatra rekha jo ki chandra parvat par hoti hai wo lambi aur saaf honi chahiye agar yatra rekha chotti aur tooti hui hai aur hath mein jeevan rekha ke najdeek nahi aa rahi hai to vykti ko avsar milega lekin wo ja nahi paayga.
3). Bhagya rekha ka chandra parvat se nikala ek accha yog hai aisa vykti ghar se door jata hai lekin bhagya rekha lambi, saaf-suthari honi chahiye aur agar end mein trishul hai to aise vykti ke videsh ja kar paisa kamane ke chances bahut bad jate hai.
4). Agar ek rekha ucch mangal parvat se nikal kar surya parvat ki taraf chali jaay to aisa vykti hawai yatra karta hai aur aisa vykti videsh mein dhan aur naam kamata hai. Aise vykti ko videsh se dhanlabh hota hai.
5). Yadi surya rekha bhagya rekha se nikal rahi ho to ye atyant shubh chinha hai lekin bhagya rekha chandra parvat se shuru ho na ki rahu parvat se aise mein vykti yovan kaal mein hi videsh ja sakta hai.
6). Manibandh se urdav rekhay upar ki aur ja rahi ho to aise mein vykti jaroor ek baar videsh yatra karta hai.
7). Agar hath mein acchi surya rekha aur bhagya rekha aur in dono ke sath mein acchi yatra rekha hai to nishchay hi vykti videsh mein naukri karta hai ya phir videsh mein apna business karta hai.
8). Vivah rekha surya rekha ko mil rahi hai ya uske najdeek hai aur hath mein acchi bhagya rekha ke sath yatra rekha hai to vykti apne vivah ke karan videsh yatra karta hai matlab aurat videsh mein ho ya pati videsh mein ho jiski wajah se usko videsh yatra ka mauka mil jata hai.
9). Guru parvat par ek khadi rekha bhi vykti ko videsh mein safal banati hai halaki ye rekha kati hui nahi honi chahiye.
10). Mastak rekha se nikal kar ke ek rekha chandra parvat par aa jaay to bhi vykti videsh mein jata hai jaydatar aisa vykti apni kabliyat ke bal par aur education ke purpose se hi videsh jata hai.