Hath Par Til Hone Ka Kya Matlab Hota Hai - Hast Rekha Shastra
Hum sab logo ke body par til (mole) hote hai jinka samudrik shastra mein kya fal hota hai wo bataya gaya hai lekin is post mein hum log hatheli mein jo til hote hai unke barein mein baat karenge.
Hath mein til sabhi logo ke nahi hote hai aur aisa bhi nahi hai ki til janam se hi ho bahut sarein logo ke hatho mein kala ya bhura til janam ke baad apne aap aa jata hai aur kaafi samay tak rahta hai kabhi kabhi kuch samay ke liye rahta hai aur phir gayab ho jaata hai.
Kuch logo ke dono hatho mein til hota hai aur kuch logo ke sirf left hand mein hota ya phir right hand mein hi til hota hai.
Jyadatar logo ke hatho mein kaala til (black mole) paya jata hai lekin bahut se logo ke hatho mein halka bhura (brown mole) bhi dekhne ko mil jata hai. Aisa mana jata hai ki kala til jyada nuksandeh hota hai jabki bhura til kam nuksandeh hota hai.
Hatheli mein til jyadatar mounts par paya jata hai ya ungliyo par par paya jata hai lekin kabhi kabhi til rekha par bhi mojood rahta hai.
Rahu par til vykti ko dhan deta hai lekin sath hi aise vykti ko dukh bhi dekhne ko milte hai jyadatar dukh parivarik aur sharirik hote hai lekin aise vykti ke pass paiso ki kami nahi rahti hai.
Shani par til vykti ke durbhagya ka suchak hai kyuki aise vykti ka durbhagya uska peecha nahi chodhta hai. Santan ka sukh nahi ya vivah ka sukh nahi milta hai aur aisa vykti kala jadu, buri najar aur black magic se peedit rahta hai.
Surya par til apyash, badnami aur paiso ka nash batata hai ya sarkari naukari mein takleef dilata hai.
Budh par til vyapaar mein ghata ya phir dhokha batlata hai.
Agar aap adhik jaankari chahate hai to neeche diye gaye link ko visit kare waha par aapko hatheli par mojood til ki sampurna jankari mil jaaygi.
Read More: Hatheli Mein Black Til Hona
Read More: Meaning Of Black Mole On Hand