Nakhun Aur Bimariya
Experts ka manana hai ki nakun ke rang aur nakun par baney chinho se vykti ki bimariyo ka pata lagaya ja sakta hai.Nakuno mein padne wala peelapan, aur safed dhabbey aane wali bimariyo ko sanket karta hai.
1). Peeley Nakhun (Yellow Nails)
Agar aapke nakhun feekey ya halke peeley pad rahein hai to ye is baat ka sanket hai ki aapko anemia, hridhya sambhandhi rog, kuposhan, ya liver sambandhi rog ho sakta hai.
Nakhuno mein fungus infection bhi ho jata hai uski wajah se bhi nakhun ka rang peela pad jata hai.
Peeliya, thyorid, aur diabetes mein bhi nakhun khrabh ho kar peeley pad jaate hai.
2). Safed Dhariya (White Lines On Nails)
Kai baar nakhuno par safed dhabbey aur lines ban jaati hai jo dheere-dheere nakhuno ko safed kar deti hai aur is tarah se nakhuno ka hona is baat ka sanket hai ki aapki pachan shakti kamzor ho chuki hai aur aapko liver se sambhandhit rog ho raha hai.
3). Ubhare Hue Nakhun (Puffy Nails)
Bahut baar kai logo ke hatho mein nakhun fool jaatey hai aur ubhare hue ya bahar nikalte hue najar aate hai aise mein nakhun ke andar ka maas fool jata hai aur ye batata hai ki aapki body mein oxygen ki kami hai aur aapke lungs theek se kaam nahi kar rahein hai.
4). Neeley Nakhun (Blue Nails)
Nakhuno ka neela hona khatarnaak hai iska matlab hai aapke body mein oxygen ka pravaah sahi nahi hai aur fefdo ki takleef ya nimonia ho sakta hai. Aapko apni body ka full checkup karwana chahiye.
5). Rukhey Aur Toote Hue Nakhun (Dry And Broken Nails)
Nakhun jub tootne lag jaay tab samajh lena chahiye ki body ki immune power kamzor ho gayi hai aur aise mein thakaan, baalo ka jhadna, sir dard hona shuru ho jata hai.
6). Chottey Laal Dhabbey Wale Nakhun (Red Spots On Nails)
Nakhuno par laal daag hone par vykti ko rakt se sambhandhit bimari hoti hai aur jyadatar un logo ke nakhun par laal spots hote hai jinko high blood pressure ki sikayat ya bimari hoti hai.
7). Chammach Ki Tarah Nakhun (Nails Like Spoon)
Body mein khoon ki kami ke karan nakhun andar ki taraf dhans jata hai. Nakhun ka is tarah se hona mansik rog ko batata hai aur mastak par adhik dwaab padne ke karan aisa hota hai.
8). Nakhun Ka 2-3 Color Mein Hona (Differnt Color On Nails)
Nakhun agar 2-3 color mein ho yani safed, peela aur gulabi ho jaay to samajh lena chahiye vykti ko skin se related bimari hogi isliye us insaan ko skin ka dhyan rakhna chahiye.
Nitin Kumar Palmist