Second Marriage Ka Yog Astrology Aur Palmistry
Jyotish mein talak aur dusari shadi ke bahut yog hote hai.
Jaise guru ka 12th house mein hona ya shukra ka 12th house mein hona. Aisa mana jata hai ki yadi ladki ki kundli mein agar guru 12th house mein hai to talak ki sambhavna adhik hoti hai aur ladke ki kundli mein agar shukra 12th house mein hai to talak ki sambhavna adhik hoti hai.
Jyotish mein 7th house ko shadi ka ghar mana jata hai aur agar waha par rahu, ketu, mangal ya shani jaise paapi grah hai to nischit tor par shadi mein deri ya phir shadi mein pareshaniya aati hi hai aise logo ka vevahik jeevan accha nahi hota hai.
Mangal aur shukra ki yukti agar janampatri mein hai to aisa aadmi ya aurat kaamwasi hota hai ya phir aise vykti ke ghar ke bahar sambandh ban jate hai. Shukra agar 4th house mein hai to bhi vykti ke bahut sambandh ban jaate hai.
Mangal shani ki yukti agar 12th house mein hai to aise vykti ka vivah nahi hota hai ya phir vivah mein bahut vilambh hota hai ya phir talak ho hi jata hai.
Budh aur sukhra ki yukti ya phir budh + sukhra + surya ki yukti agar 6th house ya aur kahi bhi hai to aisa purush apni aurat se sex sambandh nahi bana pata hai ya phir uski roochi sex mein nahi hoti hai ya phir aisa vykti napunsak ki tarah ya sanyasi ki tarah hota hai.
Aise mein vykti ko bahut baar santan nahi hoti hai ya phir santan kisi na kisi bimari se janam se hi peedit hoti hai.
Upar batay gaye jyotish ke kuch samanya niyam hai jo adhiktar sahi hote hai lekin phir bhi aisa nahi hai ki humesha sahi hi ho isliye puri kundli dekhein jarori hai. Sirf upar diye gaye yog ke aadhar par hi faladesh kar diya jaay wo kadapi uchit nahi hoga.
Hastrekha mein bhi bahut sarein talak aur dusari shadi ke yog hote hai.
Agar dohari bhagya rekha hai aur vivah rekha tooti hai ya doshyukt hai to jyadatar vykti ka dusara vivah hota hai ya phir ghar ke bahar sambandh ban jata hai.
Agar vivah rekha par fork bana hai to vykti ka talak hota hai aur phir jab bhagya rekha majboot hoti hai ya bhagya rekha se rekha upar nikalti hai ya phir dusari vivah rekha hath mein hoti hai tab vykti ka dusara vivah hota hai.
Dohari vivah rekha agar dono hatho mein hai aur bhagya rekha bhi doshyukt hai to vykti ke 2 vivah hote hai.
Agar bhagya rekha ka ek hissa toot kar guru parvat par chala jaay to vykti ke 2 vivah hote hai.
Vivah rekha ki puri jankari ke liye ye post padein- Meaning Of Marriage Lines On Hand Of Females